Joh log waqt barbaad karte hai ... waqt unhe barbaad kar deta hai
Emraan Hashmi
Insaan ka jab waqt achcha hota hai tab logon ko uske phatte kapde bhi stylish lagte hai ... jab taste badalta hai tab wohi log uske kapde phadne lagte hai
Waqt ka pata nahi chalta hai apno ke saath ... lekin apno ka pata chal jaata hai waqt ke saath
Prakash Raj
Syana woh hota hai joh waqt ke rukh ko dekhkar, jhukna seekhe ... aur rukh badalte dekhkar, dushman ko jhukana seekhe
Sushma Seth
Bike nahi hai yeh time machine hai yeh ... so put your hands around me and let me take you back in time
Dawai aur shaadi mein badi similarity hoti hai ... dono agar time pe na mile na, bahut mushkil ho jaati hai
Saurabh Shukla
Na luck badalta hai na insaan ki taqdeer ... insaan ka waqt badalta hai
Mithun Chakraborty
Tees din hai tumhare paas ... ek-a-tees ve din mein agar tum is shehar ki hadh mein bhi nazar aaye ... toh duniya ki hadh se bahar nikaal kar phenk doonga
Akshay Kumar
Sher Khan aaj ka kaam kal par nahi chodta
Pran
Joh sacha pyar karte hai woh zindagi bhar ke liye naraaz nahi hote ... kuch derr ke liye rooth jaate hai
Paresh Rawal
Ladki ko patane mein itna time nahi jata hai ... jitna usse hatane mein jata hai
Unknown
India mein time se aane waale ki koi value nahi hoti ... der se aane waale ko star samjha jaata hai
Bindu
Kuch aur paane ki chaah, kuch aur behtar ki talaash ... is hi chakkar mein insaan apna sab kuch kho behetta hai joh uske paas hota hai ... talaash kabhi khatam nahi hoti ... waqt khatam ho jaata hai
Dharmendra
Galat waqt par, galat wajah se, galat jagah pe tune haath uthaya
Madhavan
Shauk do tarah ke hove hai ... ek toh woh joh samay ke saath khatam ho jave hai ... aur duja woh joh samay ke saath maqsad ban jave hai
Irrfan Khan
Kehne ko toh ek round sirf do minute ka hota hai ... par socha jaave toh do minute mein 120 second hote hai ... us ek second ka intezar kar jab samne wala galati kare
Aamir Khan
Jiski mrityu ka samay nahi aata ... usse koi nahi maar sakta
Shatrughan Sinha
Is zameen aur is aasman se pare ... jahan na waqt ho na tumhare mere sivah koi aur ... sirf ek feeling ho, ek jazba ho ... ki tum mujh mein ho aur main tum mein
Shahid Kapoor
Jab waqt badal jaata hai ... vaar kamzor se kamzor ka chal jaata hai
Paisa kamane mein time lagta hai ... churane mein nahi
Sonu Sood
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory