Kabhi akhbaar, kabhi khat kaagaz ... rozmarra ki zaroorat kaagaz ... aane jaane ki sahulat kaagaz ... jeene marne ki izazat kaagaz ... pyar ki chittiyan bhi kaagaz ki ... kaam ki arziyan bhi kaagaz ki ... jashan mein jhandiyan bhi kaagaz ki ... jism ki mandiyan bhi kaagaz ki ... bane naaton ka bhi gawah kaagaz ... kahin shaadi, kahin nikah kaagaz ... kahin talaak ka gunah kaagaz ... banaye aur kare tabah kaagaz ... cheen le khet, ghar, zameen, kaagaz ... poche aankhon ki bhi nammi kaagaz ... har jagah yoon hai laazmi kaagaz ... jaise ghar ka hai aadmi kaagaz ... kuch nahi hai, magar hai sab kuch bhi ... kya ajab cheez hai yeh kaagaz bhi
Kaagaz