Kehne ko toh ek round sirf do minute ka hota hai ... par socha jaave toh do minute mein 120 second hote hai ... us ek second ka intezar kar jab samne wala galati kare
Aamir Khan
Joh guzar gaya woh haath mein nahi ... aane wala kal, joh kisse pata kya layega ... paas hamare sirf aaj hai, sirf ab hai ... us hi pe control hai ... bas yeh pal haath mein hai
Rajit Kapur
Har moment, ek moment tumhare samne se guzarta ja raha hai ... aur karna sirf itna hai ki har us guzarte moment ko khush banana hai
Unknown
Hamare yahan ghadi ki sui character decide karti hai
Amitabh Bachchan
Pyar waqt nahi hai ... joh agar guzar jaye toh vapas nahi aata
Salman Khan
Yeh zindagi ek jung ka maidan hai ... yahan sar uthakar jeene ke liye insaan ko har kadam par ladna padta hai ... kabhi waqt ke saath, kabhi halaat ke saath aur kabhi maut ke saath
Mithun Chakraborty
Time ka na bada game hai ... iske saath kabhi nahi khelneka
Vinod Khanna
Waqt hi sab kuch hai ... waqt hi banata hai ... aur waqt hi bighadta hai
Balraj Sahni
Apna time aayega
Ranveer Singh
Shaadi shuda aadmi hamesha office ke liye late kyun ho rahe hote hai ... kyun ki joh time pe uthte hai woh baat karne mein late ho jaate hai ... aur joh samajhdar hai woh uthte hi late hai ... ki saala utho, tayaar ho aur bhaago
Kartik Aaryan
Har insaan ka apna safar hota hai ... thodi der ke liye kisi aur ke saath judh jaane se ... uska safar apna nahi ho jaata hai
Deepti Naval
Waqt ki fitrat khol de kismat ... khud pe bharosa hai toh aazmaa le apna luck
Sanjay Dutt
Yeh sab ek sapna hai jis mein tum ho, main hoon aur koi nahi ... yeh woh waqt hai jispe sirf tumhara haq hai, mera bhi nahi
Karan Singh Grover
Zindagi badi choti hai ... bade bade faisle lene ke liye zyada time nahi lena chahiye
Ajay Devgan
Waqt aur kismat badalne mein derr nahi lagti
Kiran Kumar
Pyar har waqt saath rehta hai ... kyun ki pyar waqt se nahin, usse kiya jaata hai jiske saath waqt guzaarte hain
Ayesha Takia
Achche waqt ki ek kharabi hai ... achcha waqt khatam ho jaata hai ... lekin bure waqt ki ek achchai hai ... ke woh bhi khatam ho jaata hai
Pyar ka teer waqt ka mohtaj nahi hota
Shilpa Shirodkar
Bura waqt koi jagah nahi hoti jahan se aap bachke nikal sakte hai ... bura waqt aapke saath saath chalta hai ... aur jitna hi aap usse bhaagne ki koshish karte hai ... utna hi woh aapki taraf badhta hua nazar aata hai
Intezari ka waqt aur dil se bahut taluk hota hai ... jab humne intezar kiya toh unka dil nahi tha ... aur jab unhone intezar kiya toh hamara dil nahi tha
Dev Anand
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory