Humse door jaoge kaise, dil se hum mein bhulaoge kaise ... hum woh khushboo hai joh saason mein bastein hai, khud ki saason ko rok paoge kaise
Bande hain hum uske, hum pe kiska zor ... umeedo ke suraj, nikle chaaron aurr ... iraade hai fauladi, himmati har kadam ... apne haatho kismat likhne, aaj chale hain hum
Kehte hai pyar mein neend udh jaati hai ... koi humse bhi mohabbat kare ... kambhakt neend bahut aati hai
Aap ki aankhen meri taxi ki headlight ki tarah hai memsaab
Phool hoon gulaab ka chameli ka mat samajhna ... aashiq hoon aapka apni saheli ka mat samajhna
Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte ... jaam doosron se cheenkar hum piya nahi karte ... unko mohabbat hai toh aakar izhaar karen ... peecha hum bhi kisika kiya nahi karte
Saanson ke bina shayad kuch pal main jee sakta hoon ... lekin tumhare bina nahin
Aag suraj mein hoti hai, jalna zameen ko padta hai ... mohabbat nigahein karti hai, tadapna dil ko padta hai
Life is a race ... if you don't run fast ... you will be like a broken undaa
Pani se pyaas nah bhuji toh maikhane ki taraf chal nikla ... soocha shikayat karoon teri khuda se ... par khuda bhi tera aashiq nikla
Maskarre ka khel dhokhe ka khel hota hai ... jis mein audience ko lagta hai ki jeet unki ho rahi hai ... lekin jeette hum hai, hamesha
Aisa laga khuda ne rakh diya hamare dil pe haath ... liya naam hamare unhone kuch aisi ada ke saath
Aal izz well ... Aal izz well
Exam toh bahut hote hai, baap mostly ek hi hota hai
Husn ko chaand, jawani ko kamal kehte hai ... dekh kar hum tujhe ek shouk ghazal kehte hai ... uff yeh sang-e-marmar sa tarasha hua shafaf badan ... dekhne wale tujhe Taj Mahal kehte hai
Jab do barabar ke log ek doosre ko kuch dete hai toh woh tofha kehlata hai ... lekin jab koi rayees kisi gareeb ko kuch deta hai toh wahi cheez bheek kehlati hai, madad kehlati hai
Aap hai gul-e-gulzar, mausam-e-bahar ... chehre par hai gussa, dil mein hai pyar ... aa gale lag ja mere yaar
Dard se aankhen chaar kar lenge, hum bhi imtihaan de denge ... teri dosti ke khatir aye dost, hum dushmano se bhi pyar kar lenge
Life mein teen cheezon ke peeche khabi nahi bhagna chahiye ... bus, train aur chokri ... ek gayi doosri aati hai
Agar andha hota, toh duniya ki sabse haseen cheez dekh nahi pata ... aap
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory