Jab hum muskurate hai ... toh dushmano ke dil dahil jaate hai
Raaj Kumar
Jab do sher aamne saamne khade hoon ... toh bhediye unke aas paas nahin rehte
Shatrughan Sinha
Auron ki zameen khodoge, toh usme se matti aur patthar milenge ... aur hamari zameen khodoge, toh usme se hamare dushmano ke sar milenge
Hum apne kadmo ki aahat se hawa ka rukh badal dete hai
Ya toh tum neeche aa jao yah phir hum upar aate hai ... ya thoda neeche tum aao aur thoda upar hum aaye
Hamari sultanat ki sadak ... insaaniyat ki dehleez se shuru hokar, reham aur imaandari ke ilaake se guzarti hui ... dil ke darwaaze par khatam hoti hai
Aap aag ke paas rehkar shaant nahi hai ... aur hum dil mein aag rakhkar bhi shaant hai
Bhadki hui aag ko bhujane ke liye joh phoonk marne ki koshish karta hai ... uska chehra jal jaata hai
Joh tumhari baat nahi manega ... woh upar se nau inch chota kar diya jayega ... yaane ki sar dhar se alag
Hum woh pandit hain ... joh shaadi bhi karate hain, aur shraadh bhi
Aaj kal ka ishq janamo ka rog nahi hai ... waqti nasha hai shaam ko hota hai, subah utar jaata hai
Doosre ka khota sikka bhi agar kichad mein gira ho toh usse uthakar apni jeb mein rakha ja sakta hai ... lekin apna khara sikka jaan moochkar kichad mein nahi phenka ja sakta
Jinke badan kagaz ke hote hai woh agni devta ki puja nahi karte
Bade se bade zaalimon ke zulm se bada hota hai ... ek gareeb ka inteqam
Mukesh Khanna
Jung mein pyar nahi hota ... lekin pyar mein jung hua karti hai
Gadhaa kitna bhi imported sabun lagaye ... woh ghoda nahi ban jaata
Rana Jung Bahadur
Aurron ki zameen sirf zameen hai ... aur hamari zameen ek gardish
Hum uss mukaam par hai ... jahan tumhare sarr se zyada oonchai par ... hamare paon rehte hai
Mamta Kulkarni
Aapne hamare haath mein taash kya de di ... yeh samajhiye baazi de di
Pyar se gale lag ja toh rani bana doonga ... nahi toh pani pani kar doonga
Gulshan Grover
Tumne hamare badan pe kharashein lagayi ... hum tumhare badan pe anginat zakhm banayenge
Kuch saanp itne zehreelay hote hai ... ki agar woh kaat le toh palak jhapakte hi zindagi kat jaati hai ... woh karvat badalne ka mauka tak nahi dete
Khatmalo ko maar maar kar khoon jaama karne se ... blood bank nahin ban jaata
Jis tarah bewafaa mehmoob kabhi ek dil mein nahi reh sakte ... us hi tarah choohe kabhi ek bil mein nahi reh sakte
Jab hum kash lagate hai ... toh hamare dushman gash khakar gir jaate hai
Dekh sakta hai bhala kaun yeh pyare aasoon ... meri aankhon mein nah aa jaaye tumhare aasoon
Ajit Khan
Aulad ke aasoon baap ke dil pe tezaab ke boond ki tarah girte hai ... aur usse challi kar dete hai
Woh chahe hazaaro ghadiyaan khareed le ... magar unmein woh sirf waqt ko dekh sakte hai ... waqt ko ghulam nahi bana sakte
Unknown
Lamho ka bhanwar cheer ke insaan bana hoon ... ehsaas hoon main waqt ke seene mein ghada hoon
Jab hum dushmano ka khayal karte hue apne paon neeche rakhte hai ... toh hamare dushman maut ka tasavur karte hue zameen se upar uthne lagte hai
Majboori mein daya ki bheekh maangi jaati hai ... koi shart nahi rakhi jaati
Hum jab saamne waale ko paani pila dete hain ... tab paani peete hain
Tarikh is baat ki gawahi deti hai ke baghavat ki kahaniya ... kabhi gulab jal se nahi likhi gayi ... yeh hamesha garam khoon se likhi gayi hai
Sher ki dumm bankar jeene se achcha hai ... kutte ka mooh bankar jeena
Hamari yaadash achchi bhi hai aur tezz bhi hai
Mohabbat janwar ko bhi insaan bana deti hai ... lekin kuch insaan aaise hote hai jinhe mohabbat bhi insaan nahi bana sakti ... woh zindagi bhar janwar bankar reh jaate hai
Hum apni zubaan mein faulaad rakhte hai ... joh halaat ki garmi se na toh phigalti hai aur na hi lachakti hai
Girre hue aasunyon ke katre ... vapas nahi uthaye ja sakte
Woh us chaand ki tarah hai jismein gareebi ka daag toh hai magar ... bahut sari khoobiyon ki chamak bhi hai
Prithviraj woh tairakh hai joh nadi naale nahi ... sailaabi dariya leharon se khelta hua paar kar jaata hai
Main toh tumhe apni rani bana loonga ... agar tumne meri baat nahi maani toh zabardasti gale lagake tumhe pani pani kar doonga
Khandaan, maan maryada, shaan-o-shaukat, rutba aur vakaar ... sadiyo ki mehnat aur mushakat ke pasine aur zindagi ki kash-ma-kash ke baad banta hai
Aaj ka daur mazdooron ka daur hai ... aur aaj ka mazdoor apne paon ki thokaron se bade bade badshahon ki taqdeer likhta bhi hai ... aur mitata bhi hai
Khoon ke rishtey kabhi saboot ke ghulam nahi hua karte
Nadi shokh, chanchal aur khoobsurat hoti hai ... lekin badnaseeb insaan ki gandagi is mein behti rehti hai
Aag aur barood se doosre toh darr sakte hai ... lekin mohabbat nahi darrti
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory