Main un cheezon ki smuggling karta hoon, jinki ijaazat sarkar nahi deti ... un cheezon ki nahi, jinki ijaazat zameer nahi deta
Ajay Devgan
Aadmi tabhi bada banta hai ... jab bade log usse milne ka intezaar kare
Emraan Hashmi
Dua mein yaad rakhna
Zindagi ho toh smuggler jaisi ... sari duniya raakh ki tarah neeche aur khud dhuen ke tarah upar
Hamari tasveerein kheench ke apni dukaan mein laga lena ... kabhi zaroorat padhe, toh dono mein se ek bhagwan chun lena
Raaste ki parwah karoonga toh ... manzil bura maan jayegi
Mushkil toh yeh hai ki main abhi theek tarah se bhigda bhi nahi ... aur tumne sudhaarna shuru kar diya
Sher se hal chalaoge toh kisaan toh marega hi
Joh bistar pe zabaan dete hai ... woh aksar badal jaate hai
Chaukiyan chahe police ki ho ... shehar ke commissioner to hum hi log hai
Jinki manzil ek hoti hai ... woh raaston par hi toh milte hai
Jab dost banake kaam ho sakta hai ... toh phir dushman kyun banaye?
Agar dhanda shanti se karna hai toh ... dhamake toh karne hi padenge
Joh apni maa ki izzat nahi karte ... main unka baap bankar aata hoon
Yeh umar sudharne ki nahi ... bighade ki hai
Sooch lo, baat khatam karni hai ... ya kahani shuru
Himmat batai nahi ... dikhai jaati hai
Jaise tu hua tha ... upar waale ki dua se, thodi mehnat se ... aur bahut sari lagan se
Kashti leharon se takrayegi ... toh hi kinaare naseeb honge
Main apne kaam karne ka tareeka badal raha hoon ... tevar nahi
Joh apne beete huye kal se bhaagta hai ... woh zindagi ki race kabhi nahi jeetta
Jurm ke raaste kitne bhi makhmali kyun na hoon ... khatam toh jail ke kambal mein hi hote hai
Randeep Hooda
Main har kaam paise ke liye nahi karta
Aaj ka kaam kal par chhodonga ... toh aaj bura maan jayega
Supari li hai toh chuna nahi lagaunga
Agar kisi cheez ki lat padh jaye ... toh woh lat aadmi ki pehchaan ban jaati hai
Tumhari baat ka jawaab de diya ... toh tumhara sawaal bura maan jayega
Waqt bhi kahan badalta hai ... sirf guzarta hai
Gufaa mein andhera kitna hi ho ... kinaare pe roshni zaroor hoti hai
Koi bhi dhanda aadmi ki himmat se bada nahi hota
Aadmi halaat bighadane ke liye burre kaam nahi karta ... halaat sudhaarne ke liye karta hai
Desh se wafaadari kisi ek shaksh se gaddari se kahin zyada badhkar hoti hai
Is khel mein joh power hai na ... uska nasha hi alag hai
Isse zindagi se zyada apni jeet pyari hai
Gaadi chahe kitni bhi tezz ho ... usse rokne ke liye ek keel kafi hai
Ab dekhna yeh hai ki aankh milake baat karta hai ... ya peet peeche vaar
Insaan ki dukhti rug uski har taqat se badhkar hoti hai
Aaj ke baad tu sirf wohi bolega ... joh main sunna chahta hoon
Garam joshi achchi cheez hai ... lekin agar hadh se badh jaye toh khud ko jaala deti hai
Aankhen khuli rakhon toh aansoon bhi kaale ... aur bandh karoon toh sapne bhi kaale
Mere jaise kapde pehanke tu Sultan Mirza dikh to sakta hai ... lekin ban nahi sakta
Cheete ki raftaar se, ajgar ki pakad se aur Sultan ke dimaag se koi nahi bach sakta
Unknown
Jin ungliyon ko ghode ki aadat lag jaaye ... un mein lagaam daalna mushkil ho jaata hai
Yeh ghoda hai ghoda ... bade bade zindagi ki race haar jaate hai iske saamne ... iski lagaam jiske haath mein, power ussi ka ... ek minute mein ya toh baazi palat jaati hai ... ya khelne waala
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory