Chaand ko apni chaandni sabit karne ke liye ... chiragon ki shahadat ki zaroorat nahi padhti
Zulm karne waala bhi paapi ... aur zulm sehne waala bhi paapi
Aaj ki duniya mein agar zinda rehna hai ... toh duniya ke button apne haath mein rakhne parte hai
Sher Khan ne shaadi nahi ki toh kya hua ... lekin baaraatein bahut dekhi hai
Zakhm dene waala bhi wohi hai, bharne waala bhi wohi hai ... insaan toh sirf marham rag sakta hai
Khuchal doonga, masal doonga, jala doonga, loota doonga ... rulaya mujhko kismat ne ... main duniya ko rula doonga
Is ilaaqe mein naye aaye ho sahab? ... varna Sher Khan ko kaun nahi jaanta
Baarah junglee kutte milkar sher ko maar daalte hai
Aaj zindagi mein pehli baar ... Sher Khan ki sher se takkar hui hai
Huye tum dost jiske ... uska dushman aasman kyun ho
Sachai apna saboot kudh hoti hai
Sab apni soochte hai, sabko dhyan hai apna ... yahi hai rang toh poora na hoga ek sapna
Anjaam unka wahi hoga joh tu chahta hai ... lekin hoga vaise jaise hum chahte hai
Sher Khan aaj ka kaam kal par nahi chodta
Kyun matakti hai bahut ... aaj tanhayi khatakti hai bahut
Jee chahta hai tujhe gande keede ki tarah masal doon ... magar main apne haath gande karna nahi chahta
Zara yeh raat dhalne de, nasha tera utaroonga ... jawaani bhool jaye ishq, tujhko aaise maroonga ... andhere mein agar maara toh kehlaonga main buzdil ... tadap le raat bhar, pehli kiran hogi teri kaatil
Ek baar mann ko saaf kar lo ... bar bar snaan nahi karna padega
Awaaz toh teri ek din main neechi karoonga ... sher ki tarah garajne waala ... billi ki zabaan bolega
Pyar mein toh budha bhi jawaan lagta hai ... ladki Shirin aur ladka Farhad lagta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory