Jab rishta zindagi mein aata hai ... toh saath aankhon mein aasoon aur dil mein dard lekar aata hai
Saif Ali Khan
Doston ke dukh dard baatne dekho Jaggi aaya hai ... abhe kaun hai woh kabootar jisne tumhe sataya hai
Sanjay Mishra
Khushiyan toh insaan har kisi ke saath baant sakta hai ... lekin apne dukh usse apne dil ke andhar hi rakhne padte hai
Amitabh Bachchan
Insaan ko na kuch paane ki khushi honi chahiye aur na kuch khone ka gham
Naseeruddin Shah
Yeh duniya gham toh deti hai, lekin sharikh-e-gham nahi hoti ... aur is duniya mein kisi ke door jaane se na, mohabbat kam nahi hoti
Govinda
Kya kare pyar ishq mohabbat mein kehna padta hai ... kabhi khushi kabhi gham sehna padta hai ... khullam khulla pyar karenge kehna padta hai
Namrata Shirodkar
Maine aasoon bechkar daulat nahi kamai ... joh aasoon dekhkar daulat luta doon
Subbiraj
Yeh aasoon bhi bade baimaan hote hai ... na gham chupane dete hai, na khushi
Sulochana Latkar
Yeh na hota toh koi doosra gham hona tha ... main toh woh hoon jise har haal mein bas rona tha
Kamaal Rashid Khan
Dil tha tumhari yaad mein tapish-e-gham se bekarar ... aankhen tumhari shakal ko dhoond rahi thi baar baar
Ashok Kumar
Haste huye chehre ka gham padhna kitna mushkil hota hai
Salman Khan
Life is a cycle ... kabhi khushi deti hai, kabhi gham deti hai
Boman Irani
Beti ke aasoon dekh kar bhi yadi pita ka dil na roye ... toh woh dil nahin patthar hai
Milna bichadna jeevan ki reet hai ... do pehlu hai ... ek gham ka doosra khushi ka
Rajesh Khanna
Joh udaasiyan bachchon ko khushiyan de jaye ... woh maa baap ko hamesha manzoor hoti hai
Sachin Khedekar
Jinke paas zabaan nahi hoti ... woh aksar aasoonyon se baatein karne lagte hai
Rohini Hattangadi
Haste huye insaan ke saath saari duniya hasti hai ... lekin jab woh rota hai toh akela rota hai
Raaj Kumar
Dukh aur sukh ki tarah galatiyan bhi aadmi ke muqadar mein likhi hoti hai ... galatiyan karke joh pachtata hai wohi insaan kehlata hai
Jeetendra
Kisi kisi dukh ke peeche ek bada sukh chupa hota hai
Uparwaala shayad insaan ko utna hi dukh deta hai ... jitna woh seh sake
Diana Hayden
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory