Mujhko kyun dete ho zehar-e-zindagi ... mujhko marke nagahani chahiye ... dil abhi poori tarah toota nahi ... doston ki meharbani chahiye
Koi haarkar jeet leta hai aur koi jeetkar haar jaata hai
Samajhdar log kabhi dil se mohabbat nahi karte ... woh hamesha dimag se mohabbat karte hai
Dil tha tumhari yaad mein tapish-e-gham se bekarar ... aankhen tumhari shakal ko dhoond rahi thi baar baar
Zindagi ki cricket mein draw nahi hota ... ya toh jeet hoti hai ya haar ... aur jeet ussi ki hoti hai joh upar hai ... aur upar wahi hai joh neeche nahi hai
Beti ke aasoon dekh kar bhi yadi pita ka dil na roye ... toh woh dil nahin patthar hai
Kali dekhi thi, ab gulzar hai tu ... churi dekhi thi, ab talwar hai tu
Jin jin cheezon se zindagi, zindagi lagti hai ... kambhakt doctor unhi ko cheen lete hai
Paise kamane ke do tareeke hai ... ek toh zabardast mehnat, lekin uske liye bahut samay ka intezar karna padta hai ... aur doosra bagair mehnat ke insaan amir ban sakta hai, lekin uske liye hausle ki zaroorat hai
Jawaani unhi ke liye hai joh jawaan hai
Shaadi ke baad ka pyar hi zyada gehra hota hai
Shareer jitna thanda hoga, jalne mein utna hi anand aayega
Abhi shareer mein garmi hai beta ... jab thanda ho jaye toh jhauk dena aag mein
Apna paseena boyega toh sona ughayega
Jab paschatap nahi ... toh prayaschit bhi nahi
Watan ka jazba har jazbe se buland hota hai ... bhai, behan, maa, baap aur har jazbe se buland
Kahin bhi apna thikana nahi is zamane mein ... na aashiyane ke bahar, na aashiyane mein
Hum aankh kiye bandh tasavur mein pade ho ... aaise mein koi cham se aa jaye toh kya ho?
Khushi ka ek pal aaisa bhi hota hai ki insaan sab kuch bhool jaata hai
Pyar paane ke liye koi bhi tareeka najayaz nahi hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory