Yeh aasoon bhi bade baimaan hote hai ... na gham chupane dete hai, na khushi
Bhagwan ki kaisi anokhi leela hai ... kabhi sab kuch cheen leta hai ... kabhi bahut kuch de deta hai
Maa ki mamta ko maut ke thapadhe bhi nahi badal sakte
Likhna padhna toh school mein sikhaya jaata hai ... lekin insaaniyat school mein nahi, sanskaron se aati hai
Gareebi se sharmana, usse nafrat karna ... sabse bada apradh hai
Apne mann mein base hue purush ko nikalkar ... bhagya se paye hue pati ko devta maan lena nari hi kar sakti hai ... issi liye Bharat ki nari ko devi kaha jaata hai
Ajeeb nyay hai bhagwan ka bhi ... jinko bhook deta hai unko khane ko nahi deta ... aur jinko khane ko deta hai unko bhook nahi deta
Jab aulaad jawaan ho jaati hai na ... tab naukrani ki nahi ... bahurani ki zaroorat hoti hai
Duniya mein kuch kaam aaise hote hai jinhe karne ke liye bhagwan insaan banata hai ... aur woh insaan utne hi bade hote hai, jitna bada bhagwan khud hota hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory