Dono gham se guzrein ya guzrein khushi se ... jahan se bhi guzrein, guzrein apni khushi se
Ajay Devgan
Jee lenge hum ... is gham ko bhi pee lenge hum
Saif Ali Khan
Maa ka dil sab kuch jaanta hai ... bete ka sukh, bete ka dukh ... sab kuch usse pehle se hi maloom hota hai
Reema Lagoo
Dekh sakta hai bhala kaun yeh pyare aasoon ... meri aankhon mein nah aa jaaye tumhare aasoon
Ajit Khan
Agar sharaab dukhon ko mitta sakti ... toh har aadmi sharaabi ban jata
Asha Parekh
Dukh woh amrit hai jisse paap dhulte hai
Unknown
Dukh toh sabhi ki zindagi mein hota hai ... kisi ko bin maange mil jaata hai meri tarah ... aur koi jaan-mooch ke modh le leta hai tumhari tarah
Sanjeev Kumar
Tumhare hi liye paida hue duniya ke nazare ... chamakte hai tumhari roshni se chand aur taare ... tumhara gham hai gham, auron ka gham khawab-o-kahani hai ... tumhara khoon hai khoon, hamara khoon pani hai
Sohrab Modi
Pyar toot jaye toh sirf dukh hota hai ... par vishvas toot jaye toh sab kuch khatam ho jata hai
Ameesha Patel
Ab kachoo nahi hona hai ... sirf rona hi rona hai
Mukesh Tiwari
Agar tum khush ho toh is liye ki tum khush rehna chahte ho ... aur agar dukhi ho toh is liye ki tum dukhi rehna chahte ho
Yusuf Hussain
Hamare dhande mein aasunyon ke saath koi rishta nahin hota
Om Puri
Cancer ke keedon ke samne ... na meri zindagi ki koi keemat hai ... na tumhare aasuon ki
Rajesh Khanna
Mere aasuyon ka swad ... mere mann ka namak hi samajhta hai
Tang aa chuke hai kashmakash-e-zindagi se hum ... thukra dein jahaan ko kahin bedili se hum ... hum ghamzada hai laaye kahan se khushi ke geet ... denge wohi joh paayenge is zindagi se hum ... ubhrenge ek baar abhi dil ke valvale ... maana ke dab gaye hai gham-e-zindagi se hum ... lo aaj humne todh diya rishta-e-umeed ... lo ab kabhi gilaa na karenge kisi se hum
Guru Dutt
Dukh is baat ka nahi ki har cheez mitt jaati hai, hum mitt jaate hai ... dukh is baat ka hai ki hum jeete ji pyar karna chhod dete hai
Mohan Agashe
Dil ka dard aur aankhon ke aasun chupane ke liye ... yeh bewakoof maskare ka bhes bade kaam ki cheez hai
Raj Kapoor
Gham is kadar badhe ke main ghabra ke pee gaya ... is dil ki bebasi pe taras khake pee gaya ... thukra raha tha mujhko badhi der se jahaan ... main aaj sab jahaan ko thukra ke pee gaya
Bhook hai, thakaan hai, dard ki pehchaan hai ... dushman jahaan hai, mann bhi pareshaan hai
Shahrukh Khan
Aulad pehda hote hi mar jaye toh ek dukh ... jawan hoke mare toh dugna dukh ... aur agar aulad tere jaisi nalayak pehda ho jaye ... toh zindagi bhar ka dukh
Ranjeet
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory