Bhook lagegi toh aam ke pedh ke upar chadkar aamiya kha lenge ... pyaas lagi toh kuaan se pani pee lenge ... neend lagi toh peepal ke pedh ke neeche soo lenge ... aur aapka yaad aaya toh chup-chap akele mein ro lenge
Rajpal Yadav
Ab hua malum aahon ka dhuan hota hai kya ... apne daaman mein lagi aag toh rota hai kya?
Shatrughan Sinha
Sukh na rahe toh dukh apas mein milkar baant lena chahiye
Om Shivpuri
Zindagi mein kuch gham aaise bhi hote hai ... jinse insaan ka rishta zindagi bhar ka hota hai
Sunil Shetty
Joh udaasiyan bachchon ko khushiyan de jaye ... woh maa baap ko hamesha manzoor hoti hai
Sachin Khedekar
Shyam hote hi tanhaiyan mujhe til-til maarne lagti hai ... aaise mein agar koi saathi saath na ho, toh aasoon bhi gale mil-mil behne lagte hai
Akshay Kumar
Dil dukh ki aag mein jalta hai ... toh aasoon bankar behne lagta hai
Sanjeev Kumar
Sabse pehle apni akad aur apni zid ki jhadon ko aag laga ... varna dukhon ke aaise badal mandrayenge ... ke is ghar mein aasoonyon ke sailaab aa jayenge
Danny Denzongpa
Aaj raat tere gham ko rum mein dubaate hai
Unknown
Is dil ne itne dukh uthaye hai ... ki sukh dokha lagta hai
Chalo ro lo ... kyun ki aaj ke baad is ghar mein koi royega nahi
Nana Patekar
Kabhi kabhi toh lagta hai bhagwan bhi dhanwanon ki tarah gareebon ka saath nahi deta
Jeetendra
Hum barbaad ho gaye
Ek toota dil hi toote dil ka dard samajh sakta hai
Duniya ke rachaita Brahma ne har insaan ka bhagya likhkar hi usse is duniya mein bheja hai ... sukh aur dukh uske zaroori ang hai ... is baat ko samajhkar joh jeeye us hi ka naam zindagi hai
Govinda
Yeh upar waala hai na hamesha chuhe billi ka khel khelta hai ... kabhi itna sukh deta hai ki sambhala nahi jaata ... kabhi itna dukh de deta hai ki dil se nikala nahi jaata
Mukesh Khanna
Kis kis ka dukh manaiye, kis kisko roiye ... Kanhaiya ji ki chaddar hai, mooh dak ke soiye
Aasoon ki buniyad par khushi ka mahal khada nahi ho sakta
Vyjayanthimala
Yeh mat bhool ki chamakta suraj andhere ki kook se hi nikalta hai ... thandi hawa ka mazaa paseena aane ke baad hi aata hai ... dukh, gham, pareshani tere raaste ki rukavat nahi ... teri manzil ka raasta hai
Jab tak rum mein nahi hoga dum ... kaise mitega gham
Sanjay Mishra
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory