Babuji ne kaha gaon chhod do ... sab ne kaha Paro ko chhod do ... Paro ne kaha sharab chhod do ... aaj tumne keh diya haweli chhod do ... ek din aayega jab woh kahenge, duniya hi chhod do
Shahrukh Khan
Pyar hum dono ne kiya ... magar tadapna sirf mere naseeb mein aaya
Govinda
Dost fail ho jaye toh dukh hota hai ... lekin dost first aa jaye toh zyada dukh hota hai
Madhavan
Hum mein toh apno ne loota, gairon mein kahan dum tha ... meri kishti thi doobi wahan, jahan pani kam tha
Ajay Devgan
Mohabaat ka dard bada jaan leva hota hai
Udaas hona, yun akele mein rona ... is injurious to health, sehat ke liye hanikarak hota hai
Salman Khan
Roti hui ladkiyon se door bhaagta hoon main ... par tum jab roti ho toh I want to just kiss you
Harshvardhan Rane
Mujhko lambi umar ki dua na do ... jitni ghuzri nagawar ghuzri
Bhagwan toh hamesha bhagwan hi rehta hai ... uski har haal mein puja ki jati hai ... chahe woh apne bhakt ko sukh de yah dukh
Sachche dost aasoon ki tarah hote hai ... yahan dil udaas hua ... wahan woh aa gaye
Imran Khan
Dard kam hota hai khushi dene se ... dukh kam hota hai sukh dene se
Emraan Hashmi
Zindagi mein ek hassi woh hoti hai joh insaan apne gham ko chupane ke liye khud seekhta hai ... aur ek hassi woh hoti hai joh insaan ke saare gham bhula deti hai
Asif Basra
Gham se khali nahi jism ka kona koi ... hum rahe na rahe, hum pe mat rona koi
Duniya mein pyar se zyada dard kuch nahi hota
Anushka Sharma
Jigar ka dard upar se kahin malum hota hai? ... ki jigar dard upar se nahin malum hota hai
Amitabh Bachchan
Kaash ... kaash main tumhari jagah pe hota ... kaash
Jab pyar karne waale apne jazbaato ko dabakar ... rishto ko koi doosra naam dete hai ... toh kabhi na kabhi, kahin na kahin jazbaat phoot phootke rone lagte hai
Hrithik Roshan
Na kisi ne lori gaakar sulaya hai ... na kisi ne maatha chumkar uthaya hai
Unknown
Jab jab dard ka baadal chaya, jab gham ka saaya lehraya, jab aasoon palkon tak aaya, jab yeh tanha dil ghabraya ... humne dil ko yeh samjhaya, dil aakhir tu kyun rota hai ... duniya mein yunhi hota hai ... yeh joh gehre sannate hai, waqt ne sabko hi baante hai ... thoda gham hai sabka qissa, thodi dhoop hai sabka hissa ... aankh teri bekaar hi namm hai, har pal ek naya mausam hai ... kyun tu aise pal khota hai, dil aakhir tu kyun rota hai
Farhan Akhtar
Pahadon se bhid jaane par bhi hridhay utna dukhi nahi hota ... jitna swabhimaan ko thes lagne par hota hai
Dara Singh
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory