Baarat mein halki si jhalak apni dikhake ... chhoda mujhe is husn ne deewana banake ... doori na hui dil ko kisi tarah gawara ... chhod aaya hamesha ke liye takht hazara
Raaj Kumar
Is basti mein saari palkein geeli kyun hai ... din patreele raatein zehareeli kyun hai ... kyun bebas hai, jhunjulaya hai joh bhi yahan hai ... kyun lagta hai yeh basti ek andha kuvaan hai
Ranveer Singh
Ek khwaab ne aankhen kholi hai ... kya modh aaya hai kahani mein ... woh bheeg rahi hai baarish mein ... aur aag lagi hai paani mein
Unknown
Pyar woh nasha hai jis mein chain kho jaata hai, hosh udh jaata hai, neend gayab ho jaati hai ... kisi ko milne ki, chune ki, kehne ki, sunne ki, kisi ko apna banane ki, kisi ka ho jaane ki khawaish hoti hai, jeene ko mann karta hai ... pyar woh andhrooni bahaar hai jis mein kalpana ke phool khilte hai, kavita ko sur milte hai, chahaton ke mele lagte hai, kisse mehakte hai, kah-kahe lagte hai, karaar milta hai ... pyar woh insaani karishma hai jis mein aane waale kal ko wajah milti hai, guzre hue kal ko wajood milta hai, anjaan logon ka dil milta hai, soone safar ko sahil milta hai
Shahrukh Khan
Bahaduri ka naya dhang sikha gaya hai koi ... chukake khoon ki keemat chala gaya hai koi ... Dharam aur Veer ka naam reh jaye dharti par ... sabak zamane ko aaisa sikha gaya hai koi
Ek katra jab zara sa ubharta hai, toh samundar ke lehje mein baat karta hai ... chhaton ke diye kab ke bhuj gaye hote, koi toh hai joh hawa ke par kattarta hai ... aur zameen ki koi vakalat nahi chalti, jab koi faisla aasman se utarta hai
Om Puri
Meri tarah hota agar khud par zara bharosa, toh kuch door tum bhi saath saath aate ... rang meri aankhon ka baantte zara sa, toh kuch door tum bhi saath saath aate ... nasha aasman ka joh choomta tumhe, hasratein tumhari naya janam paati ... khud doosre janam mein meri udaan chhoone, kuch door tum bhi saath saath aate
Nadiya se dariya, dariya se sagar, sagar se gehra hai jaam ... jaam mein doob gayi hai yaaron, mere jeevan ki har shyam
Rajesh Khanna
Maut tu ek kavita hai ... mujhse ek kavita ka vaada hai milegi mujhko ... doobti nabzon mein jab dard ko neend aane lage ... zard sa chehra liye chaand ufak tak pahunche ... din abhi paani mein ho raat kinaare ke kareeb ... na andhera, na ujala ho ... na abhi raat, na din ... jism jab khatam ho aur rooh ko jab saans aaye ... mujhse ek kavita ka vaada hai milegi mujhko
Amitabh Bachchan
Wahi taj hai, wahi takht hai, wahi zehar hai, wahi jaam hai ... yeh wahi khuda ki zameen hai, yeh wahi bhuton ka nizam hai ... bade shauk se mera ghar jalaa, koi aanch tujhpar na aayegi ... yeh zabaan kisi ne khareed li, yeh kalam kisi ka ghulam hai
Vijay Raaz
Kavita se mann ko behlaya ja sakta hai ... samjhaya nahi ja sakta
Asha Parekh
Pehlu-e-hoor mein langoor, khuda ki kudrat ... kauve ki chaunch mein angoor, khuda ki kudrat ... gadhe ko de diye khane badam ... kaisi yeh jodi milayi mere Ram
Raj Kapoor
Kavitaon ke matlab nahi ... unke jazbaat samajhne chahiye
Kahin aag lagne se pehle uthta hai aaisa dhuaan ... jaisa hai idhar ka nazaara, waisa hi udhar ka samaa
Pavan Malhotra
Tang aa chuke hai kashmakash-e-zindagi se hum ... thukra dein jahaan ko kahin bedili se hum ... hum ghamzada hai laaye kahan se khushi ke geet ... denge wohi joh paayenge is zindagi se hum ... ubhrenge ek baar abhi dil ke valvale ... maana ke dab gaye hai gham-e-zindagi se hum ... lo aaj humne todh diya rishta-e-umeed ... lo ab kabhi gilaa na karenge kisi se hum
Guru Dutt
Kabhi kabhi koi dhun sunne ke liye kisi saaz ki zaroorat nahi hoti ... phoolon ke khilne ke liye baarish ki zaroorat nahi hoti ... dil ki awaaz sunne ke liye lafzon ki zaroorat nahi hoti
Hrithik Roshan
Choti choti chitrayi yaadein, bichhi hui hai lamho ki lawn pe ... nange pair unpar chalte chalte itni door aa gaye hai ... ki ab bhool gaye hai joote kahaan utare the ... edi komal thi jab aaye the, thodi si nazuk hai abhi bhi aur nazuk hi rahegi ... in khatti meethi yaadon ki shararat jab tak inhe gudgudati rahe ... sach bhool gaye hai joote kahan utaare the ... par lagta hai ki ab unki zaroorat nahi
Chand ubharta hua, bujhte huye chehre dekho ... chandni chhitki hai, cha jaye andhera jaise ... is tarah tootkar bhikre hai zameen par sapne ... lut gaya ho kisi baraat ka dera jaise
Apni halat bayaan karoon kaise ... yaad ka saanp dil ko dasta hai ... aahatein goonjti hai kaano mein ... meri aankhon mein koi basta hai ... main tumhe dhoondne kahan jaaon ... koi manzil na koi rasta hai ... meri baahein tumhari manzil hai ... dil musafir hai, pyar rasta hai ... waqt aankhon mein tham gaya jaise ... ek paal ek saal lagta hai ... mere khwaabon ki saans toot na jaaye ... aa bhi jaao ki aas toot na jaaye
Chal lekar apni naav chale, chandan chandani ke gaon chale ... indradhanush ki behti dhara, uske paar teesra kinara ... is safar mein aur koi nahi, yeh safar hai bas mera tumhara ... ab kis dastak ka hai intezar, jab tumhe pukarta ho pyar aur samne ho sapnon ka sansar ... chal lekar sapnon ki naav chale, chandan chandani ke gaon chale
Nana Patekar
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory