Duniya mein kitni hai nafratein ... phir bhi dilon mein hai chahatein ... mar bhi jaaye pyar waale ... mitt bhi jaaye yaar waale ... zinda rehti unki mohabbatein
Shahrukh Khan
Bande hain hum uske, hum pe kiska zor ... umeedo ke suraj, nikle chaaron aurr ... iraade hai fauladi, himmati har kadam ... apne haatho kismat likhne, aaj chale hain hum
Aamir Khan
Sau andheron mein bhi roshan ho, us haqeeqat ki talash hai ... teri dehleez pe chhod aaye, us mohabbat ki talash hai ... jhukne ki ibaadat ko toh samjhe jahaan walon ... katne pe joh haasil ho, us jannat ki talash hai
Aishwarya Rai
Jab pyar mein pyar na ho ... jab dard mein yaar na ho ... jab aansoon mein muskaan na ho ... jab lafzon mein zubaan na ho ... jab saansein bas yoon hi chale ... jab har din mein raat dhale ... jab intezar sirf waqt ka ho ... jab yaad us kambhakht ki ho ... kyun hoon main raahi jab woh hai kisi aur ki manzil ... dhadkano ne saath chhod diya ... ae dil hai mushkil, ae dil hai mushkil
Ranbir Kapoor
Har sher mein alfaaz toh hote hai ... par har alfaaz shayari nahi ... pyar toh sab karte hai ... par har pyar junooniyat nahi
Pulkit Samrat
Koi pyar kare toh tumse kare, tum jaise ho waise kare ... koi tumko badal ke pyar kare, toh woh pyar nahi woh sauda kare ... aur saheba, pyar mein sauda nahi hota ... right?
Kim Sharma
Baarishon mein bedhadak tere nachne se ... baat baat pe bewajah tere roothne se ... choti choti teri bachkani badmashiyon se ... mohabbat karoonga main ... jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
Teri aankhon ki namkeen mastiyan ... teri hasi ki beparwah gustakhiyan ... teri zulfon ki lehrati angdaiyan ... nahi bhoolunga main ... jab tak hai jaan, jab tak hai jaan
Koi umeed bar nahi aati, koi soorat nazar nahi aati ... maut toh ek din moiyan hai, neend raat bhar kyun nahi aati ... pehle aati thi haal-e-dil pe hassi, ab kisi baat pe nahi aati
Nawazuddin Siddiqui
Main aur meri tanhayi, aksar yeh baatein karte hai ... tum hoti toh kaisa hota ... tum yeh kehti, tum woh kehti, tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hasti ... tum hoti toh aaisa hota, tum hoti toh waisa hota ... main aur meri tanhayi, aksar yeh baatein karte hai
Amitabh Bachchan
Utamamm dadh-dhadhatt paadham ... madhyam paadham thuchuk thuchuk ... khanishtham thud-thudiya paadham ... sur-suriya pran ghatkam
Omi Vaidya
Hum toh falak ke taare the ... zameen pe aaye toh pehchaan payi, mazhab paya, rang paya, zubaan payi ... hum nikle the jannat dhoondne ... par har modh pe, har makaam pe, nafrat jung aur sarhad payi ... par apne tevar ka sikka ek din chalega zaroor ... khoon ubaal marega zamana badlega zaroor ... khud ko buland karenge ... rab ke bandhe hai hum ... gunday the, gunday hai, gunday rahenge hum
Ranveer Singh
Humne joh ki thi mohabbat aaj bhi hai ... teri zulfon ke saaye ki chahat aaj bhi hai ... raat katti hai aaj bhi khayalon mein tere ... deewanon si woh meri haalat aaj bhi hai ... kisi aur ke tasavvur ko uthti nahi, baimaan aankhon mein thodi si sharafat aaj bhi hai ... chaha ki ek baar chahe phir chhod dena tu ... dil todh tujhe jaane ki izaazat aaj bhi hai
Unknown
Tune sab paaya hai, aashiq ki nazar paayi nahi ... jabse dekha tujhko duniya ki taraf dekha nahi ... jabse chaha tujhko apni yaad bhi aayi nahi ... tukhjo paana zindagi hai, tujhko khona maut hai ... aur kuch iske sivah mere fasaane mein nahi ... maang loonga mein khuda se yah chura loonga tujhe ... tujhsa moti doosra uske khazane mein nahi
Raaj Kumar
Husn ko chaand, jawani ko kamal kehte hai ... dekh kar hum tujhe ek shouk ghazal kehte hai ... uff yeh sang-e-marmar sa tarasha hua shafaf badan ... dekhne wale tujhe Taj Mahal kehte hai
Garmi-e-hasratein nakaam se jal jaate hai ... hum chiragon ki tarah shaam se jal jaate hai ... shama jis aag mein jalti hai numaish ke liye ... hum ussi aag mein gumnaam se jal jaate hai ... jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath ... jaane kyun log mere naam se jal jaate hai
Jab choti choti baaton mein hum haste the rote the, tabse tumse pyar kiya hai ... jab bin mausam barsaaton mein hum jhoom jhoom ke gaate the, tabse tumse pyar kiya hai ... jab chup chupke aadhi raaton mein chatt pe taare ginte the, tabse tumse pyar kiya hai ... ab toh khud bhi bhool chuka hoon main ki kabse tumse pyar kiya hai ... bas itna hi keh sakta hoon main ... ki sirf tumse, tum hi se pyar kiya hai
Jugal Hansraj
Yeh meri himmat kahan ki main aapse shikva karoon ... aap hona chahte hai bewafaa, ho jahiye ... aapke kadamon par laakar rakh di hai dil aur jaan ... meri mohabbat ki duniya ke khuda ho jahiye
Priyanka Chopra
Yere yere pausa, tula deto paisa ... paisa saala khota, paus aala motha
Sanjay Dutt
Jab jab dard ka baadal chaya, jab gham ka saaya lehraya, jab aasoon palkon tak aya, jab yeh tanha dil ghabraya ... humne dil ko yeh samjhaya, dil aakhir tu kyun rota hai ... duniya mein yunhi hota hai ... yeh joh gehre sannate hai, waqt ne sabko hi baante hai ... thoda gham hai sabka qissa, thodi dhoop hai sabka hissa ... aankh teri bekaar hi namm hai, har pal ek naya mausam hai ... kyun tu aise pal khota hai, dil aakhir tu kyun rota hai
Farhan Akhtar
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory