Main hoon aag ka dariya na ulfat ka geet ... yugon se nibhaye joh Raghukul ke reet ... mitta doonga is jag se zulm ka andhera ... main roshni ka aashiq mera naam Raghuveer
Sunil Shetty
Woh wahi hai joh kabhi kabhi mere khayalon mein aata hai ... jise soochkar hi muskurane ka mann karta hai ... jiski awaaz meri har saans pehchaanti hai ... dil ko ussi ka intezaar hai ... jise meri tarah pyar se pyar hai
Esha Deol
Mann bairaagi, tann anuragi, kadam kadam dushwari hai ... jeevan jeena sahal na jaano bahut badi fankari hai ... auron jaise hokar bhi hum ba-izzat hai basti mein ... kuch logon ka seedhapan hai, kuch apni aiyaari hai
Manoj Bajpai
Kya khadi baatein banati hai ... khuda ka khauf kar, kyun aag is ghar mein lagati hai ... zara soorat toh dekh apni, tujhe Raanjha satayega ... tu jis raste se guzregi, woh us raste na jayega
Unknown
Ho jeb mein jab sirf pachaas dollar ... pooche kyun sawaal aaise uthake collar ... jode hai humne paise gin gin ... ho sadaa pyara motel "Happy Inn"
Ranbir Kapoor
Log har peshe mein khudko ghulam kehte hai ... hum ishq karne wale shayari ko kaam kehte hai
Irrfan Khan
De shiva var mohe, shubh karman se kabhoo na hatton ... na daroon bairi sauh jab chahe ladoon, nishchay kar apni jeet karoon
Ajay Devgan
Shirdi mera Pandharpur, Shirdi pujya staan ... yahin viraje Vithal mere, saavare Ghanshyam ... yahin bahe Ganga Jamuna, yahi tirth mahan ... pranaam mera sweekar karo Sainath bhagwan
Manmohan Krishna
Yeh kaisi khwahish, yeh kaisa ehsaas hai ... joh waakif na tha kal tak woh har lamha ab mere pass hai ... yeh kaunsa rang hai, yeh kiska sang hai, yeh kaisa saaz hai, yeh kiski awaaz hai ... kyun neend ab pareshan si aati hai ... kyun har saans mein uski khushboo utar jaati hai ... tahruff toh abhi nahi hai usse phir har waqt kyun woh aas pass hai ... yeh kaisi khwahish, yeh kaisa ehsaas hai
Adhyayan Suman
Jaane jahan tujhe kya kahoon ... mere khawabon mein, meri baaton mein, meri neendon mein, meri raaton mein bas tu hi tu ... jaaneman meri zindagi hai tu
Shahid Kapoor
Mera joota hai Japani, yeh patloon Englishtani, sar pe laal topi Russi ... phir bhi dil hai Hindustani
Raj Kapoor
Kehne ko hum paas hai par kitni doori hai ... yeh bhi kaisi majboori hai ... tumse hamdardi bhi nahi kar sakta main ... mere bas ki baat nahi hai ... main yeh behte aansun poochun, itni meri aukaat nahi hai ... main bhi yahin hoon, tum bhi yahin ho ... par sach yeh hai main hoon kahin, tum aur kahin ho ... kehne ko hum paas hai par kitni doori hai ... yeh bhi kaisi majboori hai
Ranveer Singh
Baa baa black sheep have you any balls ... yes sir, yes sir three footballs ... one for the coach, one for the chela and one for the kela
Akshay Kumar
Joh lehron se aage nazar dekh paati, toh tum jaan lete main kya sochta hoon ... woh awaaz tumko bhi joh bhed jaati, toh tum jaan lete main kya sochta hoon ... zid ka tumhare joh parda sarakta, khidkiyon se aage bhi tum dekh paate ... aankhon se aadaton ki joh palke hatate, toh tum jaan lete main kya sochta hoon
Yeh joh pyar mohabbat preet hai, sab jhoot fareb ki reet hai ... kisi andhe insaan ka sapna hai, ek goonge ka geet hai ... yeh joh pyar mohabbat preet hai, sab jhoot fareb ki reet hai
Omi Vaidya
Ek anbani si muskaan ke peeche dard ki karaah sunai de toh bhi ... yeh sunheri tanhayi jazbaaton se takraake bikhar jaaye toh bhi ... hum kuch nahi bolenge, kuch nahi bolenge, kuch nahi bolenge
Tabu
Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai ... ke zindagi teri zulfon ki naram chhaon mein guzarne pati ... toh shadaab ho bhi sakti thi ... yeh ranj-o-gham ki shayahi joh dil pe chayi hai ... teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi ... magar yeh ho na saka ... magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai ... ki tu nahi tera gham teri justaju bhi nahi ... guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise ... isse kisi ke sahare ki aarzu bhi nahi ... na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag ... bhatak rahi hai andhero mein zindagi meri ... inhi andhero mein reh jauga kabhi khokar ... main janta hoon meri humnafas ... magar yoon hi kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Amitabh Bachchan
Ghar mein hai bas chhe hi log ... chaar deewarein, chatt aur main ... raat sahuli ek saheli, gora chitta din hai dost ... ghar mein hai bas chhe hi log ... tehelne nikle tanha parchai, main bhi uske peeche chaloon ... neele ambar ke kagaz par panchi hokar chitra banoon ... indradhanush ki tirchi daali par chipki geeli geeli aus ... ghar mein hai bas chhe hi log ... chaar deewarein, chatt aur main
Nana Patekar
Mudh ke dekho, paas bulao ... paas aaye toh haath pakad lo ... jatpataye toh baal jakad lo ... nazdeek chehra laake uska, kaan mein dil ki baat suna do
Zohra Sehgal
Main tera dost hoon, tu haddi main gosht hoon ... tera mera saath hai, maut ki baat hai, dushman ki gardan mere haath hai ... yeh uski khopdi, yeh meri laat hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory