Kabhi raste mein mil jao toh katrakar guzar jana ... hum mein is tarah takna jaise pechana nahi tumne ... hamara zikr jab aaye toh yun anjaan ban jana ... ki jaise naam sunkar bhi hum mein jana nahi tumne
Amitabh Bachchan
Mere dil ka woh hissa ... kambakht mera kab tha
Meri zindagi ka har ek pal, tere husn se hai judha hua ... tere honth thirke toh subah hai, teri zulf bhikre toh raat hai
Tera haath, haath mein ho agar ... toh safar hi asle-hayaat hai ... mere har kadam pe hai manzilein ... tera pyar gar mere saath hai
Is duniya mein aadmi insaan ban jaye ... toh bahut badi baat hai
Shashi Kapoor
Daag daaman pe nahin ... dil pe liya hai maine
Tum insaan ke roop mein devta ho ... yah devta ke roop mein insaan
Rakhee Gulzar
Aapne kabhi apni aankhen dekhi hai? ... jahan dekhti hai ek rishta kayam kar leti hai
Zindagi chand sawaal aur kuch jawaab hi toh bankar reh jaati hai
Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai ... ke zindagi teri zulfon ki naram chhaon mein guzarne pati ... toh shadaab ho bhi sakti thi ... yeh ranj-o-gham ki shayahi joh dil pe chayi hai ... teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi ... magar yeh ho na saka ... magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai ... ki tu nahi tera gham teri justaju bhi nahi ... guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise ... isse kisi ke sahare ki aarzu bhi nahi ... na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag ... bhatak rahi hai andhero mein zindagi meri ... inhi andhero mein reh jauga kabhi khokar ... main janta hoon meri humnafas ... magar yoon hi kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Main zara romantic kisam ka aadmi hoon ... shaadi ke baad ishq karna toh chhod diya hai ... is liye biwi se romance karke kaam chala leta hoon
Meri baat ka meri humnafas, tu jawab de ki na de mujhe ... teri ek chup mein joh hai chupi, woh hazaar baaton ki baat hai
Aap sooch kuch aur rahen hain ... pooch kuch aur rahen hain
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory