Hai aur bhi duniya mein sukhanavar bahut achche ... kehte hai ki Ghalib ka hai andaaz-e-bayaan aur
Bharat Bhushan
Jise log kehte hai, Hindustan hai ... yahi apne khwabon ka pyara jahan hai ... kahi mazhabon ka yahan ek nishaan hai ... yeh Hindustan hai, yeh Hindustan hai, yeh Hindustan hai
Unknown
Tumhe mohabbat hai mujhse main jaanti hoon magar ... ishq hi mujhko bhi ho yeh zaroori toh nahi ... tum apni vehshat mein utha lo shehar sar pe ... main bhi dard mein karahun yeh zaroori toh nahi ... laazmi hai ke tumhara qais daraye mujhko ... par main dar hi jaaun yeh zaroori toh nahi ... tum mandir mein, shivalon mein patak lo maatha ... mukti mil hi jaye yeh zaroori toh nahi
Kriti Sanon
Musafira sa dil mera ... tu mili tham gaya ... meharbaan joh tu hua ... khushi mili, gham gaya ... pehle sa kuch bhi hai nahi ... lagun main khud ko ajnabi ... tere kareeb hoon ... naseeb yoon dhadke hai abhi
Kunal Kapoor
Akad bakad bambay bo, assi nabbe jaane do, nabbe baad kiya tha joh, gunah hua ab sazaa lo ... akad bakad bambay bo, sazaa hui ab gunah lo
Imran Khan
Spandhanheen hriday mein josh naya barna hai aaj ... matra bhoomi ki parvarish ka karz ada karna hai aaj ... shaheedon ke lahu lohaan kadam pade jin rahon par ... un rahon par bankar phot kadamo tale bikharna hai aaj
Aman Verma
Saawan ki raaton mein aaisa bhi hota hai ... raahi koi bhoola hua, toofano mein khoya hua, raah pe aa jaata hai ... aaisa bhi hota hai
Shashi Kapoor
Har nakamyab aadmi ke andar ek kavi chupa hi hota hai ... aur har kamyab kavi doosri sab cheezon mein nakamyab rehta hai
Aashish Chaudhary
Ishq-e-phillum, junoon-e-phillum, dard-e-phillum, davaa hai phillum, dua hai phillam ... salaam-e-phillum, salaam-e-phillum, salaam-e-phillum
Akshara Haasan
Tum aa rahi ho zamane ki aankh se bachkar ... nazar jhukaye hue aur badan churaye hue ... khud apne kadamon ki aahat se jhebti, darti ... khud apne saaye ki jumbish se khauf khaye hue
Rajendra Nath
Humse zabaan ladata hai, hum hi ko kanoon sikhata hai ... chal issi baat par nikaal paise, bachkar jayega kaise ... chal ho ja mushtaid nahi toh aath din ki qaid
Tiku Talsania
Maante hai hum, hum gunehgaar hai ... sar jhukaye hai hum, aap sarkar hai ... apni baahon mein chupa lijiye humko ... sirf itni sazaa ke talabgar hai
Amitabh Bachchan
Yeh rang birange phoolon ke haar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ka sehra hai ... kitni khushi ki hai ghadi kaisi pyari baat ... aaj Rajni ke dwar aayi Amal ki baraat ... nazaren milke jhuk rahi hai haathon mein hai haath ... aaj se do jan rahenge milke ek saath ... yeh do dilon ke taaron ki jhankar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ke sehra hai
Rajni jise pyar se hum sab kahe cheeni ... chamke yun ghunghat mein joh badal mein chandni ... chupa rahi hoothon pe muskaan bhini-bhini ... sharmili aankhon mein hai sapno ki rangini ... yeh dulhan ke solah singaar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ke sehra hai ... itna aur kahenge tumse dulha bhai ... hamari cheeni toh hai khoye cheeni ki mithai ... pyar ki dhoop mein hai yeh kali khilayi ... ispe na aaye kabhi dukh ki parchai ... yeh pyar ke mausam sada bahaar ka sehra hai, yeh Amal aur Rajni ke pyar ka sehra hai
Yeh desh nahi jhukne wala, yeh desh nahi rukne wala ... ya bacha ho, ya budha ho azaadi se jeene wala ... woh Durga hai jisne dushman ko hai ghutne pe laa daala ... deti hai amrit deshwasi ko, khud peeti hai vish ka pyala ... yeh desh nahi jhukne wala, yeh desh nahi rukne wala
Subah hui aage jeevan hai, peeche maut ki parchai hai ... tezz dopheri yovan tapta maut kadamo par aayi hai ... saanj, safar aur umar ke dhalaan par anth ko samne paaya hai ... raat ki kaali syahi bikhri aakhri neend ne bulaya hai
Mehnat se mile daulat toh Allah ki rehmat hai ... mile haraam ki toh shaitan ki laanat hai ... peeth par maarkar apno ke khanjar joh mile daulat ... arre woh laanat hai, woh laanat hai, woh laanat hai
Jagdeep
Yeh duniya khel madari ka, chalaki ka, hoshyari ka ... jeevan ki bansi par dukh ka dumroo dekho deta kaisi taal hai ... bol madari kiske liye yeh behroopiye ka haal hai ... paapi pet ka sawaal hai
Rajesh Khanna
Pothi padh padhkar jag mua, pandit bhaya na koi ... dhai aakhar prem ka, padhe so pandit hoye
Karisma Kapoor
Bhagwan bahut acha hai tu, naari kya cheez banayi hai ... isko koi samajh na paya hai, sab duniya chakkar khayi hai ... arre yeh chakkar hi toh sab kuch hai, baki toh aata jaata hai ... woh yowan chullu mein layi, yeh ullu sher sunata hai ... is beautiful manzar ke aage kiska bas chal pata hai
Asrani
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory