Sample pesh karo ... naacho, gaao, seena cheerke dil dikhao, jaan ki baazi lagao, dekha na suna aaisa sapna jagao ... hamara dil behlao
Deepa Sahi
Agar koi music feel kar sakta hai ... then anybody can dance!
Varun Dhawan
Tumhara music kisi aur ki music ki goonj nahi, tumhara apna hona chahiye
Farhan Akhtar
Mohabbat aur sangeet ka bahut gehra rishta hai ... kyun ki dono ka janam dil se hota hai ... aur dono ki kismat bhi dil ke kehne par nirbhar hai
Shahrukh Khan
Joh taar se nikli hai, woh dhun sabne suni hai ... joh saans pe ghuzri hai, woh kis dil ko pata hai
Tumhari awaaz bahut khoobsurat hai ... aur tumhare suron mein tumhari andar ki awaaz sunai deti hai
Shaadi byah mein pataka phodke band baja bajake ... kahe poore shehar ko bataya jaata hai ki aaj I am having sex?
Aamir Khan
George Michael ka pata nahi ... but have faith in me
John Abraham
Subah subah shuru ho gayi Madonna
Zara gaur se sunoge toh ehsaas hoga ki har ek cheez mein music hai ... baarish ki girti boondon mein ... aankhon se girte aansun mein ... kisi ke shor mein ... kisi ki khamoshi mein ... har ek dhadkan ... har ek saans mein
Tara Sutaria
Zindagi side 'A' se side 'B' ki tarah ghoomti gaano ki reel ki tarah hi toh hai ... kabhi koi gaana itna pasand hai ki khatam hone se dar lagta hai ... kabhi koi gaana poore din honthon se jaane ka naam nahi leta ... aur kabhi koi gaane ke sirf dhun yaad reh jaati hai
Ayushmann Khurrana
Toote huye dil se hi sangeet nikalta hai
Unknown
Kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho ... kaise bataon main tumhe tum dhadkanon ka geet ho, jeevan ka tum sangeet ho, tum zindagi, tum bandagi, tum roshni, tum taazgi, tum har khushi, tum pyar ho, tum preet ho, manmeet ho ... aankhon mein tum, yaadon mein tum, saanson mein tum, aahon mein tum, neendon mein tum, khwaabon mein tum ... tum ho meri har baat mein, tum ho mere din raat mein, tum subaah mein, tum shyaam mein, tum soch mein, tum kaam mein ... mere liye paana bhi tum, mere liye khona bhi tum, mere liye hasna bhi tum, mere liye rona bhi tum aur jaagna sona bhi tum ... jaaon kahin, dekhon kahin, tum ho wahan, tum ho wahin ... kaise bataon main tumhe tum bin toh main kuch bhi nahi ... kaise bataon main tumhe mere liye tum kaun ho
Nana Patekar
Kuch gaane aapki zindagi se yoon hi judh jaate hai ... unki dhun mein lipte hote hai chote badhe kisse ... kayi saari yaadein
Shaadi ke pehle woh nagin been kyun bajhta hai ... kyun ki na band waala bhi tumhe chetavani de raha hota hai kaun aa raha hai tumhari zindagi mein ... inka signature tune hai woh
Kartik Aaryan
Suna hai pyar mein ghantiyan bajhti hai, shehnaiyan bajhti hai, dhol nagaade bajhte hai ... par mera toh band bajh gaya
Saturday yaane ki no thokna thukana ... only gaana bajhana
Akshay Kumar
Jab Lucky ko pyar hoga na, toh saare college mein violins bajenge
Zayed Khan
Music system bajta hai ... aur mera system bajata hai
Prakash Raj
Music joh hai na woh haatho se nahi ... dil se bajhta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory