Woh tumhare maa baap ke baare mein kuch bhi bol le ... koi tension nahi ... tum unke maa baap ke baare mein zara si ek line bol do ... toh 3rd aur 4th world war dono ek saath ho jayenge
Kartik Aaryan
Samjhao isse pyar koi paap nahi hai ... jallad hai kambhakt, yeh mera baap nahi hai
Sridevi
Maa banna duniya ka sabse bada saubhagya hai ... ishwar ka sabse bada vardaan
Preity Zinta
Bachpan mein bacha hamari ungli pakad ke chale hai taake bheed mein kho na jave ... aur jis din woh hamari ungli chhod de ... toh aise laage jaise hum hi kho gaye ho ... par baat bhi hai bhaisaab ... jab talak balak aapki ungli chhodega nahi ... tab talak aake gale kaise lagavega
Irrfan Khan
Tum meri maa ko manipulative bolo ... koi tension nahi ... maine tumhari maa ko zara sa touchy ka bol diya ... itni touch ho jaati hai ki, by god hafton tak touch karne ko na mile
Ek baar mujhe maa kehkar pukaro beta
Unknown
Zindagi mein insaan do hi baar gehri neend sota hai ... maut ki gaud mein yah maa ke aanchal mein
Farida Jalal
Kehte hai ki jab bachche ke zid baap poori na kar sake ... toh woh apni maa ke paas chala jaata hai
Ameesha Patel
Ek mard pita banta hai bache ke pehda hone ke baad ... magar ek aurat tabhi maa banti hai jab bacha uske garb mein aata hai
Aishwarya Rai
Apne bachchon ke khatir kabhi na kabhi har maa ko rona padta hai ... koi aasoon bahakar roti hai aur koi aasoon peekar
Sharmila Tagore
Zameen toh maa hoti hai ... aur maa ke tukde nahi kiye jaate
Manoj Kumar
Jab koi bachcha nahin sota, to uski maa kehti hai ki ... soja soja soja nahin toh Gogo aa jayega
Shakti Kapoor
Is baar angrezi mein Barack Obama ki maa bhi tumhe fail nahi kar sakti
Akshay Kumar
Maa ka dil sab kuch jaanta hai ... bete ka sukh, bete ka dukh ... sab kuch usse pehle se hi maloom hota hai
Reema Lagoo
Kyun ki bhagwan ek hi waqt har jagah nahi ho sakte na ... is liye unhone maa ko banaya hai
Salman Khan
Main is kisam ki ladkiyon ko badi achchi tarah jaanta hoon ... baap decide karta hai ki kaunse school mein jaana hai ... maa decide karti hai ki kitni chotiyaan bandhni hai ... aur poori family decide karti hai ki kis ladke se shaadi karni hai
Anupam Kher
Jab aulaad dushman ban jaye ... toh maa baap ko atmahatya kar leni chahiye
Mithun Chakraborty
Baap ka paisa hai ... pade pade sadd jata hai
Siddharth Narayan
Na main shayar hoon, na shayar ka bhatija hoon ... main toh jhi apne maa baap ke manoranjan ka natija hoon
Vivek Shauq
Aaisa kabhi nahi hoga ki tum do lakh kama rahe ho ... aur woh maa baap ke pressure mein pachaas hazar waale se shaadi karle
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory