Kehte hai bhagwan ka sakshat roop hoti hai maa ... joh kaam bhagwan bhi nahi kar sakte, woh maa karti hai ... lekin jab ek maa doosri maa se takrati hai ... toh yehi maa sabki maa ki
Sunny Singh
Baap toh aaise hi hote hai ... khushiyon ka har tukda baant dete hai bachchon mein ... lekin gham ka ek katra bhi nahi choone dete
Unknown
Ek baap ki zindagi mein khushiyon ka mauka sirf do baar aata hai ... pehli baar toh tab jab uska beta zindagi ke farsh par pehli bar bina kisi sahare ke kadam rakhta hai ... aur doosra tab jab wahi beta bada hokar apni shaadi shudha zindagi mein apna pehla kadam rakhta hai
Satish Shah
Jaise ek roti ki ahmiyat ek bhookha jaanta hai ... zindagi ki ahmiyat ek marne waala jaanta hai ... vaise hi maa ki ahmiyat sirf ek anaath hi jaan sakta hai
Ajay Devgan
Yahan maa baap ke liye aulad sab kuch hai ... aur aulad ke liye maa baap?
Saira Banu
Parents banne ke liye baccha pehda karna zaroori nahi hai ... aur parents banne ke liye baccha tumhara hona bhi zaroori nahi hai
Har ladki apne maikke ki chaya chhodkar sasural mein aati hai ... agar maa baap ki jagah saas sasur lele ... toh sasural mein maikke ki kami nahi hoti
Asha Parekh
Ek aurat jab tak maa nahi banti ... woh adhoori rehti hai
Jaya Prada
Tu abhi itna amir nahi hua beta ... ki apni maa ko khareed sake
Nirupa Roy
Jab maa ka dil tadapta hai na ... toh aasman mein bhi daraarein padh jati hai
Rakhee Gulzar
Mere do do baap ... mere do do baap!
Jab tak ek bete ko realize hota hai ki uska baap sahi tha ... uska khudka ek beta hota hai joh samajhta hai ki woh galat hai
Kriti Kharbanda
Jab maa baap pyar ke khilaaf hote hai toh pyar ke dushman nahi ... balki pyar ko aur mazboot karte hai
Suresh Oberoi
Maa ki jagah is duniya mein koi bhi nahi le sakta
Pita ka hukum manna beti ka farz hai ... lekin patni ko pati se alag rehne ka hukum agar bhagwan bhi de ... toh usse bhi thukra dena patni ka dharam hai
Meenakshi Sheshadri
Mere paas apne baap dada ki daulat ki nahi ek pai hai, aur nahi mujhe chahiye ... mere paas agar kuch hai toh apni maa ka diya hua aashirwaad
Amitabh Bachchan
Jis insaan ko maa ki mamta naseeb nahi hui ... us jaisa koi badnaseeb nahi
Shammi Kapoor
Tumhare daddy drug dealer hai na? ... varna aaisi nasheeli cheez aur kaun bana sakta hai ... tumhe dekhte hi nasha chad gaya
Upen Patel
Jis baap ki char jawan betiyan bin biyahi ghar mein baithi rahe ... us baap ki misaal us laash ki tarah hoti hai ... jisko na jalaya ja sakta hai, na dafnaya ja sakta hai
Kader Khan
Jab aulad ki zindagi ka sawaal ho ... toh maa din aur raat nahi dekhti
Shabana Azmi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory