Mere sar par jab tak mere maa baap ka aashirwad hai ... lohe ki talwar toh kya ... aasman se girne waali bijliyan bhi mera kuch nahi bighad sakti
Amitabh Bachchan
Meri maa mujhe wapas dedo
Har maa yehi chahti hai na ki uski beti usse sirf ek maa ki tarah nahi ... kabhi kabhi genius ki tarah bhi dekhe
Vidya Balan
Maa ka doodh toh har koi peeta hai ... lekin badi badnaseeb hoti hai woh maatayen joh tujh jaise sapole ko doodh pilati hai
Mithun Chakraborty
Joh maa baap ki izzat nahi karte ... uski duniya mein kahin pe bhi izzat nahi hoti
Unknown
Aap saas bankar hamari zindagi mein aayi ... aur itna pyar diya ki hamari maa ban gayi
Esha Deol
Khabardaar joh meri maa ke pair chuye kamine ... maa ke pairon tale swarg hota hai aur main tujhe in pairon ko chune ke kabil nahi samajhta
Ajay Devgan
Duniya mein abhi tak kisi government ne aaise note nahi banaye ... joh ek baap se uske bete ko khareed le
Paresh Rawal
Aapke daddy terrorist hai? ... varna aaisa sex bomb aur kaun bana sakta hai
Upen Patel
Maa bachche ko janam deti hai, paalti hai, posti hai ... lekin bachcha maa ke nahi, baap ke naam se jana jaata hai
Aruna Irani
Ek patni apni pati ke liye apne armaano ka khoon toh kar sakti hai ... lekin ek maa apni aulad ki khushi ke liye sari duniya se takra sakti hai
Shabana Azmi
Jab beti badhi ho jaati hai ... toh maa ke seene ka bhoj badh jaata hai
Farida Jalal
Mera naam hai Pote ... joh apne baap ke bhi nahi hote
Mohan Joshi
Insaan ki do maayen hoti hai ... ek maa joh insaan ko janam deti hai aur doosri us desh ki dharti jahan pe woh janam leta hai
Rajesh Khanna
(Kaun ho tum?) ... Kahi naam hai mere ... gareeb maa baap mujhe apna beta kehte hai, mazloom ladkiyan apna bhai ... besahare yateemon ka dost hoon aur zalimon ka dushman
Main apne papa ka eklauta mistake hoon
Cyrus Sahukar
Ek maa ke dil ka sabse bada armaan ... bete ka byah hota hai
Jise dost ka haath thaam le aur maa ka aashirwad mil jaye ... woh zindagi ki har manzil tay kar sakta hai
Bachche apni maa se kuch chupa nahi sakte
Akshay Kumar
Yeh maa baap bhi bade ajeeb log hote hai ... pehle pareshaan rehte hai ki bachcha padhega ki nahi ... phir pareshaan rehte hai ki usse job milegi ki nahi ... phir pareshaan rehte hai ki unki shaadi-waadi hogi ki nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory