Rab sabko same to same khushi nahi dete
Shahrukh Khan
Sukh toh bewafa hai ... chand dino ke liye aata hai aur chala jaata hai
Kader Khan
Sab sukh lahe tumhari sharna, tum rakshak kahu ko darna ... sankat hate mite sab peera, joh sumrai Hanumat balbeera
Salman Khan
Tumne mujhe bahut kuch diya aur mera sab kuch cheen liya ... khushiya di lekin baatne waale nahi, tofhe diye lekin taarif karne waale nahi ... aasman par bhithakar meri zameen cheen li tumne
Sonali Bendre
Zindagi mein sabse badi khushi tab milti hai ... jab aapki country ka flag shaan se lehra raha hota hai
Gulshan Grover
Hum aane waale gham ko kheench taan kar aaj ki khushi pe le aate hai ... aur us khushi mein zehar ghol dete hai
Rajesh Khanna
It is so simple to be happy ... but it is so difficult to be simple
In ladkiyon ko na koi khush nahi rakh sakta ... a happy woman is a myth!
Kartik Aaryan
Aaj khush to bahut hoge tum?
Amitabh Bachchan
Zindagi mein sirf khushiya baanti jaati hai ... gham ka bhoj har insaan ko akele hi dhona padta hai
Feroz Khan
Hasne waalon ke saath toh duniya hasti hai ... lekin rone waala akele hi rota hai
Ameesha Patel
Duniya ka koi insaan bura aadmi nahi hota ... koi aadmi apni maa ke pet se bura pehda nahi hota ... koi chor apni khushi se chori nahi karta ... koi daaku apni khushi se daaka nahi dalta ... koi tawaif apni khushi se apna jism nahi bechti ... waqt aur halaat insaan ko bura banne pe majboor kar dete hai
Govinda
Khushi jab hadh se badh jaati hai toh gham ban jaati hai
Unknown
Na moh, na maya, na mamta ka bandhan ... bus anand hi anand
Sanjay Dutt
Agar kisika dukh baatna hi chahte ho ... toh kaam kuch aisa karo ... ke doosro ki zindagi mein khushi aaye
Mohnish Behl
Do type ke leader hote hai ... ek woh joh sarkar girakar khush hote hai ... doosre woh joh sarkar banakar khush hote hai
Haraam ki daulat insaan ko shuru shuru mein sukh zaroor dilati hai ... magar baad mein le jaakar ek aaise dukh ke sagar mein dhakel deti hai ... jahan marte dum tak sukh ka kinara kabhi nazar nahi aata hai
Dhuk toh muft mein milte hai ... lekin sukh ki keemat toh deni hi padti hai
Rani Mukherjee
Khush rehte hain bachche jab saaf rehte hain kachche
Hum mein hamesha sikhaya jaata hai jitna tezz daud loge utna aage nikal jaoge ... par wahan khushi milegi ya nahi ... yeh koi nahi batata
Pulkit Samrat
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory