Hum kitne din jiye yeh zaroori nahi ... hum un dino mein kitna jeeye yeh zaroori hai
Pulkit Samrat
Kabhi kabhi ek pal mein zindagi bhar ka pyar mil jaata hai ... aur kabhi kabhi zindagi bhar dhoondo, ek pal ka pyar bhi nahi milta
Hum sainkadon janam lete hai ... kabhi pati patni bankar, kabhi premi bankar, toh kabhi anjaane bankar ... lekin milte zaroor hai aakhir mein ... nahi milenge toh kahani khatam kaise hogi ... isse pyar kehte hai
Rishi Kapoor
Tumhe itni baar kho chuka hoon ki ab toh aankhen bhi band karne se darr lagta hai
Pyar woh safar hai joh meelon mein nahi ... gehrai mein naapa jaata hai
Yami Gautam
Jab do insaan ek doosre ki rooh ko chhu le ... usse pyar kehte hai
Badhe sheharon mein shayad is liye itna shor hota hai ... taaki koi apne dil ki awaaz na sun paye
Har din, har raat tera khayal rehta hai ... har waqt, har pal bas ek sawaal rehta hai ... tum bin jiya jaye kaise, kaise jiya jaye tum bin ... muskuraya tune joh taare bhi sharma gaye ... dil ki dhadkan badh gayi toh hum bhi kuch ghabra gaye ... aye hawa behki hawa chhuna usse tehzeeb se ... mere pyar ka paighaam dena chupke chupke kareeb se
Kuch galiyan, kuch ghar yaadon ki tarah hote hai ... hum mein ek pal mein hi apne paas le aate hai
Zaroori nahi har sawaal apne saath ek jawaab lekar aaye
Hum baar baar janam lete hai karne ke liye ... achche karam
Bharti Singh
Kuch logon se hum bewajah muskurakar milte hai ... aur kuch logon se milkar hum bewajah hi muskura dete hai
Zindagi mein aage badne ke liye kuch na kuch toh peeche chhodna hi padta hai
Unknown
Jab tumhare haath mere haathon mein aate hai ... toh pata hi nahi chalta ki kaunsi ungliyan tumhari hai aur kaunsi meri
Hum mein hamesha sikhaya jaata hai jitna tezz daud loge utna aage nikal jaoge ... par wahan khushi milegi ya nahi ... yeh koi nahi batata
Give pyar to find true yaar
Kuch log aise hote hai joh dil ke band darwaze par dastak dete rehte hai ... aur kuch log aise joh band darwaza dekhkar khidki se andar aa jaate hai
Apne ghar ko aabaad karna hai toh wahin rehna chahiye ... kisi ke shehar chale jaane se shehar toh aabaad ho jayega ... lekin apna ghar veeraan ho jayega
Do tarah ke log hote hai ... ek woh joh pehle kamate hai, baad mein party karte hai ... aur doosre woh joh party karne ke baad, bill chukane ke liye gadhe jaisi mehnat karte hai
Manoj Joshi
Joh joh tumne apni mehnat se dhoonda hai aur himmat se paaya hai ... asli maza ussi mein aaya hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory