Zindagi mein log mohabbat ke sahare jeete hai ... main aapki nafrat ke sahare jeeonga
Amitabh Bachchan
Zinda hai woh log joh maut se takrate hai ... murdon se bhattar hai woh log joh maut se gabrate hai
Kader Khan
Sukh toh bewafa hai ... chand dino ke liye aata hai aur chala jaata hai
Aaj unke kadam is taraf kya aaye ... lagta hai fiza mein bahaar aa gayi
Rekha
Zindagi ka agar sahi lufz uthana hai na ... toh maut se khelo
Tawaif ki zindagi kothe pe shuru hoti hai ... aur kabristan mein khatam hoti hai
Izzat woh daulat hai ... joh ek baar chali gayi toh phir kabhi haasil nahi ki ja sakti
Vinod Khanna
Na maut aati hai, na tum aati ho ... par Zohra Bai tum bahut achcha gaati ho
Agar nazarein khoobsurat ho ... toh har cheez khoobsurat lagti hai
Pyar mein woh gehrai hai ... jiske samne samundar bhi qatra malum hota hai ... pyar karne waalon ka dil itna bada hota hai ... ki sari kainath bhi uske samne zharra malum hoti hai
Taqdeer hi ki baat hai ... kuch logon ko umeed nahi hoti aur unhe khoya hua pyar mil jaata hai ... kuch log umeed lagaye behte hote hai aur unhe pyar milne se pehle hi kho jaata hai
Talwar ki ladai talwar se, pyar ki ladai pyar se, aur bekaar ki ladai sarkar se
Insaan joh nahi hai wohi dikhane ka dhong karta hai ... joh shareef nahi hai woh sharafat ka dhong karta hai ... buzdil bahadur hone ka dhong karta hai ... dil mein lalach hota hai aur zabaan se mohabbat ka dhong karta hai ... aur kabhi dil mein mohabbat hoti hai toh zabaan se anjaanepan ka dhong karta hai
Makaan ooncha banane se ... insaan ooncha thodi ho jaata hai
Insaan ki mitti mein dhong mila hua hai ... mitti ko dhong ke pani se hi ghoondkar, maalik ne insaan banaya hai
Abhi aaye, abhi behte, abhi daaman sambhala hai ... tumhari jaun jaun ne hamara dum nikala hai
Aaisa diya aashirwad, ki teri chokri ka ghar ho gaya aabaad ... aur tera sadaa ke liye barbaad
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory