Zindagi mein sirf khushiya baanti jaati hai ... gham ka bhoj har insaan ko akele hi dhona padta hai
Agar tumhari maut mera sivah kisi aur ke haath hui ... toh mujhe behad afsoos hoga
Joh log talwar ke zor par zinda rehte hai ... ek din unki gardan uss hi talwar se katti hai
Amir se amir aadmi kabhi kabhi itna gareeb ho jaata hai ... ki uske paas paise ke sivah kuch nahi hota
Burai kitni bhi badhi kyun na ho ... achchai ke samne bahut choti lagti hai
Mohabbat mein pehle dil haara jaata hai ... wohi mohabbat ki jeet hai
Choti machliyan badi machliyon ko dhamki kabhi nahi deti
Imaan ki bhi keemat hoti hai ... sirf maut rishwat nahi leti ... is liye ke kafan mein jeb nahi hote hai
Nasha toh ab utrega ... dosti ka, pyar ka, insaaniyat ka
Chori chahe ek paise ki ho yah lakh rupaiye ki ... chori, chori hai
Nagin dushman ko maarne ke liye kabhi kabhi insaan ka roop dharan kar leti hai ... lekin tumhare jaisa insaan ki shakal mein naag aaj tak pehda nahi hua
Dil ke kuch taar aaise hote hai jinse woh khabaren bhi mil jaati hai ... joh bheji nahi jaati
Jab zakhm, zakhm ke samne mooh kholta hai ... toh bharne lagta hai
Meri nazroon mein jis aadmi ki jitni keemat hoti hai ... main uske saath utni hi sharat lagata hoon
Inteqaam ek aaisi sharaab hai ... yeh jitni purani hogi iska nasha utna hi tezz hoga
Ek baar marna hamesha aasaan hota hai ... lekin woh kambakht cheez jisse zindagi kehte hai ... uske liye kadam kadam pe marna padta hai
Jis bhagwan ko tu maanta hai ... uske saamne aaj aakhri baar apne haath uthakar dua maangle ... kyun ki aaj ke baad tere haath kabhi nahin uthenge
Zinda dilon ki hai yahan zindagi ... murda dil khaak jiya karte hai
Is trigger ke har tick ke saath tere chehre pe maut ka naksha ubrega ... lekin maut is revolver ke kis ghar mein hai ... yeh sirf maut ka farishta jaanta hai
Aurat tawaif vichaaron se banti hai ... peshe se nahi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory