Zinda hai woh log joh maut se takrate hai ... murdon se bhattar hai woh log joh maut se gabrate hai
Auron ke liye gunaah sahi ... hum piye toh shabaab banti hai ... arre sau ghamo ko nichodne ke baad ... ek katra sharaab banti hai
Zindagi toh khuda ki rehmat hai ... joh nahi samjha uski zindagi pe laanat hai
Zindagi mein toofan aaye, qayamat aaye ... magar kabhi dosti mein daraar na aane paye
Sukh toh bewafa hai ... chand dino ke liye aata hai aur chala jaata hai
Mohabbat ko samajhna hai toh pyare khud mohabbat kar ... kinare se kabhi andaaz-e-toofan nahi hota
Duniya ki koi jagah itni door nahi hai jahan jurm ke paon mein kanoon ... apni faulaadi zanjeeren pehna na sake
Dukh jab hamari kahani sunta hai toh khud dukh ko dukh hota hai
Zindagi ka agar sahi lufz uthana hai na ... toh maut se khelo
Haraam ki daulat insaan ko shuru shuru mein sukh zaroor dilati hai ... magar baad mein le jaakar ek aaise dukh ke sagar mein dhakel deti hai ... jahan marte dum tak sukh ka kinara kabhi nazar nahi aata hai
Agar insaan dukh se dosti karle ... toh phir zindagi mein kabhi usko sukh ki tamanna hi nahi rahegi
Daulat ka kya hai, woh toh aati jati rehti hai ... magar beti toh ghar ki izzat hai ... aur izzat ek baar chali jaye toh woh laut kar vapis nahi aaya karti
Kya ishq ka khoon kisi sahukar ke paan ki pichkari hai ... kya tumhari zindagi zindagi, hamari zindagi bimari hai ... tumhara khoon khoon, hamara khoon pani hai ... tumhara naam naam, hamara naam gaali hai ... tum karo zulm toh woh sarkari hai ... aur hum kare fariyad toh woh gaddari hai
Na pet mein dana hai ... na lote mein pani hai ... na bundle mein beedi hai ... na maachis mein teeli hai
Jab zindagi ki gaadi ishq ke platform par jaakar atak jaye ... toh uss gaadi mein thoda sa shaadi ka petrol dal dena chahiye ... toh gaadi aage badh jati hai
Tumhari yeh baat sunkar mera dil Hyderabad ki tarah aabad ho gaya
Hum mein toh lagta hai bhagwan ne khali pehda kar diya hai ... taqdeer likhna hi bhool gaya hai
Tu coolie hai coolie hai coolie hai coolie hai!
Bungle mein rahenge ... gadi mein ghumenge ... noton pe sooenge
Tum dushmano ko taane marte ho ... main dushmano ko goli marta hoon
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory