Imaandari ki third division baimaani ki first division se kahin zyada khushi deti hai
Vikrant Massey
Khushi ke gaane toh bilkul phuljadiyon ki tarah hai ... jalte hai aur bhuj jaate hai ... lekin udasi agarbatti ki tarah jalti hai der tak ... aur bhujne ke baad bhi mehakti rehti hai
Rajesh Khanna
Dukh ke baad sukh hi aata hai aur raat ke baad savera
Chunky Pandey
Main bhi tumhare saath chalungi ... sukh mein peeche rahungi aur dukh mein aage aa jaungi
Kriti Sanon
Achche waqt mein koi bhi khush reh sakta hai ... aadmi woh hai joh bure waqt mein khush rahe na rahe ... lekin doosron ko khush rakhe
Sohail Khan
Sukh aur dukh dono uparwaale ki den hai ... is liye sukh ki tarah dukh ko bhi apnana seekho
Shammi Kapoor
Money can buy you happiness ... if you know where to shop
Unknown
Main yeh toh nahi keh rahi ki paison se khushiyan kharidi jaa sakti hai ... magar zindagi ko cash toh kiya jaa sakta hai
Sushmita Sen
Khushi hazar sahi, gham judha nahi hota ... gareeb kitni bhi pee le, nasha nahi hota
Nilu Phule
Betiyan gharon mein khushiyan laati hai, pyar laati hai ... lekin apne hisse ki khushi dhoondne ke liye unhe kisi aur ke ghar jaana padta hai
Parikshat Sahni
Khushi, khushi tab hoti hai ... jab woh baanti jaaye
Imran Khan
Maa main first class first pass ho gaya hoon
Mubarak ho sabko saman yeh suhana ... main khush hoon mere aasunyon pe na jaana ... main toh deewana, deewana, deewana
Danny Denzongpa
MLA janta ka pratineedhi hai, uske sukh dukh ka saathi ... lekin aapne toh un teeno aksharon ka matlab hi badal diya ... "M" for murder, "L" for loot, "A" for Atrocities ... yani atyachar
Anil Kapoor
Har kahani ka happy ending ho sakta hai ... agar sahi waqt par end kardo toh
Saif Ali Khan
Tumne bachpan se lekar aaj tak mujhe bahut khushiyan di hai ... har baar ek muskurahat khatam hone se pehle, ek nayi muskurahat di hai
Alok Nath
Sukh aur dukh wohi samajh sakta hai jispar beetti hai
Ek patni apni pati ke liye apne armaano ka khoon toh kar sakti hai ... lekin ek maa apni aulad ki khushi ke liye sari duniya se takra sakti hai
Shabana Azmi
Mangetar ek aaisi suvidha hai jisse woh har sukh milta hai joh hum mein biwi se milta hai ... lekin biwi se joh dukh milta hai woh hum mein mangetar se zara sa bhi nahi milta
Akshay Kumar
Aadmi apna dukh toh phir bhi bardaasht kar leta hai ... lekin apne dushman ka sukh ... hum mein choor choor kar deta hai
Ashutosh Rana
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory