Naari beech saree hai, ki saree beech naari hai ... naari hai ki saree hai, ki saree hai ki naari hai
Unknown
Kya house hai, kya blouse hai, kya aapka koi spouse hai?
Saif Ali Khan
Dole dole mera bhi dil dole ... isse pehle ki meri joote bole ... tu patli gali hole
Aamir Khan
Jinne vade log ... unne chote kapde
Rani Mukherjee
National dress ka mazaak nahin udayoge toh broadminded kaise kehe jaoge
Utpal Dutt
Hum jaise middle class ladke na date pe nahi, bhandaaron pe jaate hai ... aur wahan bheed itni hoti hai ki late pahuncho na, toh gaiy ke mooh se puri cheenke khani padti hai ... upar se chappal chori ho jaati hai woh alag
Rajkummar Rao
Sanskar sirf kapde pehenne ya kapde utaarne se nahi bante ... aur yehi ek nanga sach hai
Darshan Jariwala
Jis tarah insaan purane kapde phekkar naye kapde pehan leta hai ... us hi tarah aatma bhi purane jism ko chhodkar naya jism dharan kar leti hai
Rajesh Khanna
Betiyan baap ki pagdi mein lipti hoti hai ... pagdi utar jaye toh woh nangi ho jaati hai
Rekha
Jab hum log sach-much hawai jahaz mein behetke udhenge ... toh inki toh patloon agwaade se geeli aur pichwaade se peeli ho jayegi
Jab koi dushman dushmani ka chola pehenkar samne aata hai toh pehchana jaata hai ... lekin jab koi dushman apno ka chola pehenkar samne aata hai toh badhe badhe dokha khakar reh jaate hai
Anupam Kher
Yeh aankhen kisi aur ko dikhana ... varna tumhare is chaupte se yeh do button nikalkar apne kurte mein fit kar doonga
Ranjeet
Bade ghar ka damaad banna, jaise topi ko sar se utaar ke pairo mein pehenna
Anil Kapoor
Jab baap ka joota bete ke paon mein aa jaaye ... toh woh bachcha nahi rehta
Logon ke paas tann dhakne ko kapda nahi ... aur inhe tann dhakne ka shaunk nahi
Mann mein jab jhol ho aur chaddi mein hole ho ... toh aap jitna bhi beparwah ghoomo ... duniya ko sab dikh hi raha hota hai
Rishi Kapoor
Jaise dhoti pehenke koi bhi Gandhi nahi ban jaata hai ... chikni chameli pe dance karne wali koi Katrina nahi ban jaati hai ... waise hi tie, suit, boot, formal pehenke English bolne wala salesman nahi ban sakta hai
Sanjay Mishra
Insaan ka charitra uske safed kapdon se hai ... safed kapda subah pehna, agar shaam tak vaise hi rahe ... toh insaan ka dil sacha hai ... woh aadmi saaf hai ... bolo kya khayal hai
Yeh zindagi ki mehfil, mehfil mein hum akele ... daaman ko koi chume, zulfon se koi khele
Joy Mukherjee
Maine tumhari tarah dikhave ke liye sharafat ka chola nahi audh rakha hai ... balki farz ki vardi pehani hui hai aur is vardi ka daaman saaf rakhne ke liye main apna khoon tak baha sakta hoon
Shatrughan Sinha
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory