Roti, kapada aur makaan par kabza karne waalon ke dil ... choohe jaise hai
Aruna Irani
Logon ke paas tann dhakne ko kapda nahi ... aur inhe tann dhakne ka shaunk nahi
Unknown
Kapda jitna uthega ... mard utna girega
Tere jaisa bhai duniya mein nahi ... langot mein hi rehna chahiye tha
Tiger Shroff
Aurat ke aanchal mein kutumb ki, desh ki, insaan ki aabroo hoti hai
Raj Kapoor
Khaaki rang hai yeh ... aur joh log khaak ko audhna aur bichauna bana lete hai ... woh ya toh khud mitt jaate hai ya doosron mitta dete hai
Iss tarah aanchalon se ulajhne ke shaukh ya kaanton ko hota hai ya mardon ko ... sheron ko nahi
Shashi Kapoor
Hamari colony ki toh nikkar waali ladkiyon ne hum mein propose kiya hai ... tumhari wajah se humne mana kar diya sabko
Deepak Dobriyal
Maine tumhari tarah dikhave ke liye sharafat ka chola nahi audh rakha hai ... balki farz ki vardi pehani hui hai aur is vardi ka daaman saaf rakhne ke liye main apna khoon tak baha sakta hoon
Shatrughan Sinha
Shaadi ek sandal ki tarah hoti hai ... pehle se agar woh ghis jaye toh baad mein sirf maarne ke kaam aati hai
Soha Ali Khan
Is vardi mein bahut garmi hoti hai ... is liye samajhdar officer rishvat ke cheeton se isse thanda karte rehte hai ... varna yeh pehanne waale ko jala deti hai
Mohan Joshi
Maar maarke bura haal karenge ... aur dhoti phaadke rumaal karenge
Arshad Warsi
Vadi vadi country ke andar chotiyan chotiyan dressan paake ... te puppiyan, te jhappiyan maarke rijha le apne pati nu
Desh mein azaadi hai, par choron ne pehni khaadi hai ... jago India jago!
Jaise hawa aur roshni ke aava gaman ke liye ghar mein khidki hoti hai ... ussi prakaar shareer mein hawa aur pani ke aava gaman ke liye dhoti hoti hai
Sushant Singh
Aurat ko aur saari ko sambhalna bahut mushkil kaam hai
Shafi Inamdar
Tum jaisi auraton ke pair ke neeche swarg hota hai ... aur aaj kal ki auraton ke pair ke neeche sandal ... joh sadak pe kam aur mardon ke sarr pe zyada chalti hai
Jackie Shroff
Izzat kapde utaarne se nahi jaati ... aur na kapdo se aati hai ... izzat tumhari soch mein hoti hai
Insaan ki zaroorat kitni hai ... ghar ki, roti ki, kapde ki ... aur isse zyada jama karne ki koshish jurm hai, gunah hai sarasar
Farooq Shaikh
Mann mein jab jhol ho aur chaddi mein hole ho ... toh aap jitna bhi beparwah ghoomo ... duniya ko sab dikh hi raha hota hai
Rishi Kapoor
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory