Mister ka murder ho gaya, murder ka mister ho gaya ... dono milake murder mystery ho gaya
Mujhse paanch minute na milkar ... aapne apna paanch lakh ka nuksaan kiya hai
Tumhara baap Sahani kahan hai? ... bataoo warna goli chal gayi toh ... saara aata pata pooch kar wapas aa jayegi
Maut tu ek kavita hai ... mujhse ek kavita ka vaada hai milegi mujhko ... doobti nabzon mein jab dard ko neend aane lage ... zard sa chehra liye chaand ufak tak pahunche ... din abhi paani mein ho raat kinaare ke kareeb ... na andhera, na ujala ho ... na abhi raat, na din ... jism jab khatam ho aur rooh ko jab saans aaye ... mujhse ek kavita ka vaada hai milegi mujhko
Waqt se pehle aur naseeb ke baad koi cheez agar tere pass dene ko ho ... toh mujhe de dena
Jisne pachees baras apni maa ko har roz thoda thoda marte dekha ho ... usse maut se kya darr lagega
Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai ... ke zindagi teri zulfon ki naram chhaon mein guzarne pati ... toh shadaab ho bhi sakti thi ... yeh ranj-o-gham ki shayahi joh dil pe chayi hai ... teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi ... magar yeh ho na saka ... magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai ... ki tu nahi tera gham teri justaju bhi nahi ... guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise ... isse kisi ke sahare ki aarzu bhi nahi ... na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag ... bhatak rahi hai andhero mein zindagi meri ... inhi andhero mein reh jauga kabhi khokar ... main janta hoon meri humnafas ... magar yoon hi kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Har chor apni maut marta nahi ... maara jaata hai
Mujhe junglee billiyan pasand hai
Is desh mein, do Bharat baste hain
Burre insaan ko sazaa dena uparwaale ka kaam hai lekin ... uparwaale se mulaqat karana mera kaam hai
Is duniya mein zinda rehne ke liye ... bhigda hua hona bahut zaroori hai
Heart attack se mard marte hai ... kyun ki hamare pass dil hota hai
Desh mein do kanoon nahi ho sakte hai ... ek gareebo ke liye, doosra ameero ke liye
Aazadi hai gunah toh kubool hai saza ... ab toh hoga wohi joh hai manzoor-e-khuda
Sar zameen-e-Hindustan, as-salaam alaykum ... mera naam Badshah Khan hai ... ishq mera mazhab, mohabbat mera imaan ... mohabbat, jiske liye Farhad ne pahadon ka seena cheer kar dhood ka dariya baha diya ... mohabbat, jiske liye Majnu ne seharaon ki khaakh chaani ... ussi mohabbat ke liye Kabul ka yeh pathan sar zameen-e-Hindustan se mohabbat ka khair maangne aaya hai ... aazmayish kadi hai, imtihan mushkil, lekin hausla buland ... jeet hamesha mohabbat ka hua hai ... sadiyon se yehi hota aaya hai, yehi hoga ... khuda gawah hai!
Paap karne waalon par patthar uthane ka adhikaar ... sirf usse hai jisne paap na kiya ho
Ram se bacha na Ravan, Krishna se bacha na Kans ... mujhse kya bachega Thakur, tu aur tera vansh
Apun bahut famous aadmi ... bada bada paper mein apun ka chota chota photo chapta hai
Jin musafiron ki manzilein alag alag ho jaye ... woh saath saath nahi chala karte
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory