Shareer mein 206 haddiyan hai, aur samvidhan mein 1670 kanoon ... haddi se lekar kanoon sab todhta hoon
John Abraham
Tarikh par tarikh, tarikh par tarikh, tarikh par tarikh, tarikh par tarikh milti rahi hai ... lekin insaaf nahi mila my lord, insaaf nahi mila ... mili hai toh sirf yeh tarikh
Sunny Deol
Hum tumhe woh maut denge ... joh na to kisi kanoon ki kitaab mein likhi hogi ... aur na hi kabhi kisi mujrim ne soochi hogi
Raaj Kumar
Main shaq ki buniyad par case ka panna kholta hoon ... aur usse yakeen mein badalkar kitaab bandh kar deta hoon
Rajinikanth
Mujhe joh sahi lagta hai main karta hoon ... woh chahe bhagwan ke khilaaf ho, samaaj ke khilaaf ho, police, kanoon ... yah phir poore system ke khilaaf kyun na ho
Amitabh Bachchan
Judge order order karta rahega ... aur tu pittaa rahega
Paanch baje ke baad Deva ki adaalat shuru hoti hai
Aaj samaaj mein uski izzat hoti hai joh kanoon todhta hai ... lekin main uski izzat karti hoon joh kanoon todhne waale ko todhta hai
Priyanka Chopra
Main kanoon ka baazu nahi khud kanoon banonga ... aur aaisa kanoon joh khud mujrimo ko pakdega, khud mukadma sunega ... aur unka faisla bhi khud karega
Chilaao mat ... nahi toh yeh case yahin rafaa dafaa kar doonga ... na tarikh na sunwai, seedha insaaf woh bhi tabartop
Insaaf na kanoon de sakta hai na police ... agar koi insaaf de sakta hai ... to ek insaan doosre insaan ko de sakta hai
Sanjay Dutt
Kanoon aur insaaf taqatwar ke ghar ghulam bankar behte hai
Koi saboot nahin ... toh koi guneghaar nahin
Shahrukh Khan
Jis tarah zameen par pair rakhe bagair insaan chal nahi sakta ... us hi tarah mujrim kanoon se bhaag sakta hai, lekin bach nahi sakta
Duniya ki koi jagah itni door nahi hai jahan jurm ke paon mein kanoon ... apni faulaadi zanjeeren pehna na sake
Kader Khan
Jeete ji tune kanoon ki itni thukai ki hai ... ki aaj tujhe khuda ki khudai bhi nahi bacha sakti
Anil Kapoor
Aapke apradhon ki itni sangeen filein hai mere paas ... kam se kam saat baar phansi par latkaongi aur ek sau terah saal ki jail
Kaunsa kanoon, kaisa kanoon ... yeh kanoon toh chand mujrimon ki rakhail ban behta hai
Nana Patekar
Chalis saal pehle ek aur aadmi tha joh kanoon ke khilaaf tha ... aaj hum uss aadmi ko Bapu kehte hai
Abhishek Bachchan
Kehne ko yeh shehar hai, sirf kehne ko ... par idhar jungle ka kanoon chalta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory