Tumne police ki vardi kahan pehan rakhi hai ... yeh toh ek kafan hai joh tumhare zameer ki laash ne pehan rakha hai
Leader ke jazbaat ka, Bambai ki barsaat ka aur producer ki baat ka ... kabhi bharosa karna nahi chahiye
Tumhari baadshah banne ki khwaish hai aaisi albeli ... jaise raja bhoj banne koi gangu teli
Jiske seene mein dil nahi usse dil ki bemaari kaise ho sakti hai?
Sabka sach alag alag hota hai
Agar hum apni jansankhya ko jan ki sankhya nahi balki zehan ki sankhya ki tarah dekhe ... toh duniya mein humse badi taqat aur koi ho nahi sakti
God great nahi hai ... woh great hai apne manne waalon se, apne chahne waalon se
Woh khudgarz joh jung chahte hai unka kuch nahi jaata ... tabah toh woh log hote hai ... jinki subah roti ki talash mein shuru hoti hai aur raat thakaan ke bistar par
Makaan ooncha banane se ... insaan ooncha thodi ho jaata hai
Mere paas apne baap dada ki daulat ki nahi ek pai hai, aur nahi mujhe chahiye ... mere paas agar kuch hai toh apni maa ka diya hua aashirwaad
Daru peene se liver kharab ho jaata hai
Suna hai lift ki deewaaron ke kaan nahin hote
Duniya se mujhe kuch hisaab chukane hai ... ek bar chuk jaye uske bad aaram hi aaram hai
Khaane ke saath cigarette peena bahut buri baat hai
Yeh raat hai ya tumhari zulfein khuli hui hai ... hai chandni ya tumhari nazaron se meri raatein dhuli hui hai ... yeh chand hai ya tumhara kangan, sitaren hai ya tumhara aanchal ... hawa ka jhaunka hai ya tumhare badan ki khushboo ... yeh pattiyon ki hai sarsarahat ki tumne chupke se kuch kaha hai ... yeh soochta hoon main kabse gumsum, ki jabki mujhko bhi yeh khabar hai ki tum nahi ho, kahin nahi ho ... magar yeh dil hai ki keh raha hai ki tum yahin ho, yahin kahin ho
Hai koi pani joh chadti hai whiskey ke bina ... pani needs whiskey ... whiskey mein zaroorat nahi kiski
Na takht hai na taj hai, dilon pe jiska raj hai ... zameen pe jiske paon, aasman pe nigah hai ... yeh sabka ladla hai, yeh Lal Baadshah hai
Mere baap ne do shaadiyan ki hai, do ... ek meri maa ke saath ... aur ek apni naukri ke saath
Galati karne ke baad aap sirf teen cheezein kar sakte hai ... galati ko maanna, galati se seekhna, aur doobara us galati ko na karna
Thakela, pakela, boring, nirutsahi log ... cigarette se bhi zyada hanikarak hote hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory