Yeh mera ussool hai ... main hamesha ghar mein ghus ke hi maarta hoon
Main paanch lakh ka sauda karne aaya hoon ... aur meri jeb mein paanch phooti kaudiyaan bhi nahin hai
Zindagi aur shatranj mein yahi toh farak hai ... zindagi mein doosra mauka milta nahi ... yahan shatranj mein mil jaata hai
Na maut aati hai, na tum aati ho ... par Zohra Bai tum bahut achcha gaati ho
Tera haath, haath mein ho agar ... toh safar hi asle-hayaat hai ... mere har kadam pe hai manzilein ... tera pyar gar mere saath hai
Do lafz hai ... tanha, akele ... lekin ek saath likh diye jaye toh ek duniya, ek kainaat, ek talash, ek lamha, ek khushi ban sakte hai
Is duniya mein do type ke log hote hai ... ek woh joh khud batate hai ki woh kaun hai ... doosre woh jinke baare mein duniya batati hai ki woh kaun hai
Maanta hoon ki zindagi ki taqat maut se zyada bhadi hai ... lekin yeh zindagi kya maut se bhattar nahi
Hamari zindagi ka tambu teen bambuon pe khada hua hai ... shayari, sharaab aur aap
Aapne mujhe woh sab diya jise bazar se khareed ke ek ghar mein sajaya ja sakta hai ... magar woh sukh kabhi nahi diya jise ek dil mein sajaya ja sake
Majboor yeh halaat idhar bhi hai udhar bhi, tanhai ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi ... kehne ko bahut kuch hai magar kisse kahe hum, kab tak yunhi khamosh rahe aur sahe hum ... dil kehta hai duniya ki har ek rasam utha dein, deewar joh hum dono mein hai aaj gira dein ... kyun dil mein sulaghte rahe, logon ko bata dein ... haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
Badla lena har baar sahi nahi hota ... lekin maaf kar dena bhi har baar sahi nahi hota
Tumhara intezar na karte hue bhi har modh par tumhara intezar kiya ... tumhari umeed na rakhte hue bhi maine har kadam par tumhari tamanna ki ... tumhe na chahte hue bhi maine tumhe itna chaha ki kisi aur ko chahne ki aarzoo bhi na rahi
Aaj tak toh gham-e-rozgaar se daaman nahi chuda saka ... aap se milne ke baad shayad gham-e-dil se rishta ho jaye
Anand mara nahi, Anand marte nahi
Ek baar insaan pehda ho jaaye, uski umar sirf ghatti hai ... badhti nahi
Woh moorkh hota hai joh sirf sach ko hi jaanta hai ... aur sach aur jhooth ke fark ko nahi jaanta hai
Aaisa toh aadmi life mein do-heech time bhaagta hai ... Olympic ka race ho yah police ka case ho ... tum kahe mein bhaagta hai bhai?
Mard ko dard nahi hota
Idhar har taqatwar apne se kam ko maarkar jeeta hai malum? ... maarkar
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory