Makkai ki roti sambhar se khayenge ... Dharmendra Hema ke mafit hum bhi shaadi banayenge
Johnny Lever
Jabse thappad maine khaya, ek aafat ho gayi ... aye but-e-kafir mujhe tujhse mohabbat ho gayi
Johnny Walker
Maut ho aaisi jisse sara zamana yaad kare ... yun toh aate hai sabhi is duniya mein marne ke liye
Amitabh Bachchan
Ban gaya main bhi mazdoor aaj se ... aaj chutti hai, kaam karoonga kal se
Amjad Khan
Kabhi tera dar, kabhi darbadar, kabhi arsh par, kabhi farsh par ... arre gham-e-aashiqui tera shukriya, main kahan kahan se guzar gaya
Unknown
Budah hai ghoda, laal hai lagaam ... kaisi yeh jodi milayi mere Ram
Raj Kapoor
Tumhare pyar ka kya sila doon yeh nahi malum ... umar mil saki agar kuch aur toh yeh bhi seekh loongi main tumse
Zeenat Aman
Na sode ke saath, na pani ke saath ... main toh peeyunga apni rani ke saath
Dharmendra
Sab hai char din ki chandni, yeh riyasate yeh wazarate ... mujhe us fakir ki shaan de, ki zamana jiski misaal de
Chunky Pandey
Khili thi dhoop-e-harsam aur pani barasta tha ... jab tu paida hua toh teri maa roti thi aur baap hasta tha
Mehmood
Ab yeh dard saha nahi jaye aur bin kahe bhi raha nahi jaye ... meri samajh mein kuch kuch aaye, machi hai kyun hai-hai ... pyare yahi toh ishq kehlaye
Kader Khan
Tareef us khuda ki jisne hum sabko banaya hai ... zara aapko yeda banaya, humko teda banaya hai
Sitaron se aage jahaan aur bhi hai ... abhi ishq ke imtihan aur bhi hai
Sheeba
Aaina todh diya khud bhi nazara na kiya ... unke jaisa ho koi yeh bhi gawara na kiya
Meenakshi Sheshadri
Jiski ek biwi uska bhi bada naam hai ... washing machine ghar te lalo, te dhobi da ki kaam hai
Sanjay Dutt
Apne paap maqsad se is kadar hath gaye ... phadna tha dushman ko, khud hi phat gaye
Deepak Shirke
Haya se sar jhuka lena, ada se muskura dena ... haseeno ko bhi kitna sehal hai, bijli gira dena
Shashi Kapoor
Chaman mein ikhtalat-e-rangboo se baat banti hai ... hum hi hum hai toh kya hum hai ... tum hi tum ho toh kya tum ho
Mere khwaabon ke jharokhon ko sajane waali ... tere khwaabon mein kahin mera guzar hai ki nahi
Leena Chandavarkar
Humne wahan apna khoon bahaya jahan tera pasina nikla ... bade bhai se bhi badhkar samjha tujhe ... par saale tu toh bada kamina nikla
Rakesh Bedi
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory