Jin toofano mein tum jaiso ke jhopde udh jaaya karte hai ... hum unhi toofano mein apne kapde sukaya karte hai
Himesh Reshammiya
Tere shareer mein itna khoon nahi hoga ... jitna Ravikumar ek baar mein moot deta hai
Kundli mein shani, ghee ke saath honey, aur Ravikumar se dushmani ... sehat ke liye hanikarak ho sakti hai
Maana ki daulat mein bahut taqat hoti hai ... magar paisa hi sab kuch nahi hota ... maana ki tumne zameer khareede honge bahut ... magar har imaan bikau nahi hota
Tu bura hai toh main bure logon ka nawab hoon ... tu bada hoke bighda hoga ... main bachpan se kharaab hoon
(Chuhoon aur Hindustaniyon mein farak kya hai?) - Sirf ek border ka
Sudhar ja nahi toh guzar jayega
(Aa raha hoon main) - Immigration ke baad seedha tera cremation hoga
(Yeh tum har baat pe dialogue kyun maarte ho?) - Kyun ki har superhit action se pehle ... superhit dialogue zaroori hota hai
Mere sanskaaron mein mujhe marne ki izaazat hai ... darne ki nahi
Mujrimon ko joh saaza de usse sarkar kehte hai ... mujrimon ko joh udda de usse Ravikumar kehte hai
Sheeshay ke gharon mein rehne wale, chataano ko chunautiyan nahi diya karte ... nishaana chahe kitna bhi pakka kyun na ho, gulel se baaz kabhi mara nahi karte
Ravikumar aadmi nahi aandhi hai ... teri sultanat udda ke rakh dega
(Jaanta nahi kiske samne khada hai?) - Bhagwan tum ho nahi sakte ... insaan tum lagte nahi ... aur shaitaan se main nahi darta
Anjaam ki fikr nahi karte woh joh doobe rehte hai aashiqon ki jannat mein ... janbaaz hote hai woh aashiq joh tabah ho jaate hai ishq, pyar, aur mohabbat mein
Jab apne hi shamil ho dushman ki chaal mein ... toh sher bhi phas jaata hai kutton ki jaal mein
Pehli mulaqat mein hi hum kitne kareeb the ... kabhi ajnabi ban jayenge yeh socha na tha ... mohabbat mein dooriyan bhi maza deti hai yeh suna tha magar ... itne faasle ho jayenge yeh kabhi socha na tha
Joh Ravikumar se ulajhta hai uski photo pe haar latakta hai
Upar wale ka karm aur duaon ka saaya jiske saath hai ... koi khatra kya bhigadega us bete ka, jis bete ke sar pe maa ka haath hai
Main Hindustan ki mitti se jhuda hua woh desh bhakt hoon, joh apne desh ke dushmano ko mitti mein mila dega ... I am the son of the soil
Saale tujh jaise kameene hi ulti ganga bahate hai ... neeyat khud ki kharab hoti hai aur ghunghat auraton se karvate hai
Sher ke pair mein kaanta chub jaane se jungle kutton ka nahi ho jaata
Kisi khwaab ki itni aukaat nahi hai ki Ravikumar usse dekhe aur woh poora na ho
Apne sabra aur yakeen ko roz badana padta hai ... cholay ko basanti aur iraadon ko faulaad banana padta hai ... yoon hi nahi hoti tirange ki hifazat ... desh bhakton ko apna khoon bahana padta hai
Mausam baimaan hai, nasha barsa raha hai ... tumse dil lagane ko jee chah raha hai
Unknown
Zehar ke asardaar hone se kya farak padta hai ... maut aane ke liye khuda ki marzi bhi shamil honi chahiye
Dushman chahe jitna khatarnak kyun na ho ... Ravikumar jaisa dhurandar ho nahi sakta ... talaab chahe jitna gehra kyun na ho ... woh kabhi samundar ho nahi sakta
Zid pe aamada hamara humsafar hai ... aas paas gundey, goliyan, gutter hai ... dil unke aage surrender hai ... jeena us hi ke saath umar bhar hai
Carlos se cheating ... maut se meeting
Prabhu Deva
Ya habibi ... tu marega kabhi bhi
Johnny Lever
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory