Shaadi byah ke mamle mein ... aate mein namak jitna jhoot chalta hai
Life ka sikka ... heads aur tails, khushi ur gham ... dono saath saath hi chalte hai
Raja ka beta bhale hi nanga pehda ho ... magar hota woh rajkumar hi hai
Bhagwan ka screenplay bhi ajeeb hai ... kabhi kisi ko muqammal jahaan nahi milta
Tere shareer mein itna khoon nahi hoga ... jitna Ravi Kumar ek baar mein moot deta hai
Awara kutta Mercedes ke peeche bhaag toh sakta hai ... lekin usse chala nahin sakta
Bhagwan do hi baar haste hai ... pehli baar tab jab duniya kisiko aabad karna chahe aur bhagwan usse barbad ... aur doosri baar tab jab duniya kisiko barbad karna chahe aur bhagwan usse aabad
Har insaan ne kabhi na kabhi, kisi na kisi se pyar kiya hai ... us hi pyar ke naam zindagi kurbaan
Bag uthakar padne gaya toh master ne kaha school chhod de ... bat ball uthakar mohalle mein gaya toh bachchon ne kaha khelna chhod de ... scooter uthakar ghar se bahar gaya toh padosi ne kaha Malad tak chhod de ... aur aaj papa ne kaha ghar hi chhod de
Hum toh dariya hai, hum mein apna hunar malum hai ... jis taraf bhi chal padenge, rasta ho jayega
Ravi Kumar langot ka bahut pakka hai ... woh bistar par neend ke alava kuch nahi leta
Sari zindagi guzaar di tune paisa jama karne mein ... magar tu yeh bhool gayi ki na kafan mein jeb hai aur na kabar mein almari ... aur kambakht maut ke farishtey rishvat bhi nahi lete
Rishtey kayam hone ke baad badal zaroor jaate hai ... tootte kabhi nahi
Joh insaan apni zid ko iraade mein badal de ... us insaan ko apni manzil tak pahunchne se koi nahi rok sakta
Chand sabki kismat mein nahi hota ... aur jisse chand mil jaye woh usse uske ek daag ke liye chhod nahi deta
Osama ko pakadne ke liye mulk, mazhab, maal aur military lag jaati hai ... ask the neighbouring country ... magar ek General Dyer ko maarne ke liye sirf ek Hindustani jigra aur yeh desi tamancha hi kaafi hai ... ask the world
Jise jeete jaagte insaano ke pyar ka reward milta hai ... usse pital ke award ka moh nahi karna chahiye
Kya shehak milega pareshani karke ... kya pahega tauheen-e-jawani karke ... tu aatish-e-dozakh se darata hai unhe ... joh aag ko pee jaate hai pani karke
Kudrat ke insaaf ko samajhna insaan ke bas ki baat nahi hai
Jin toofano mein tum jaiso ke jhopde udh jaaya karte hai ... hum unhi toofano mein apne kapde sukaya karte hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory