Jali ko aag kehte hai, bhuji ko raakh kehte hai ... jis raakh se barood banti hai usse Raghav Prakash kehte hai ... aag laga doonga yeh aasman jaala doonga ... teri yaad mein janam yeh jahaan hila doonga
Karan Singh Grover
Aaiyash nigahon ko multiplex bhi maikhana lagta hai ... lehenge mein lapeto toh Rustam bhi Rukhsana lagta hai
Unknown
Kaisi deewani hoon main, kaun pehchane ... jisne deedar kiya bas wohi jaane
Upasna Singh
Ya rab tu apni jannat ko rehne de apne paas ... humne zameen pe kar liya jannat ka nazara
Rajendra Kumar
Girte hain sher savaar hi maidan-e-jung mein ... woh tiflya kya girega joh ghutno ke bal chale
Anupam Kher
Pajame ne kaha dhoti se ... bane hum dono ek dhaage se ... farak agar hai hum mein toh sirf itna ... tu khulti peeche se, main aage se
Deven Verma
Bijnor mein gunda pakda gaya ... hairan hoon is daur mein gunda pakda gaya
Mohan Choti
Mujh jaise vakil se kabhi mat lena panga ... varna kapde pehne rahoge aur duniya samjhegi nanga
Kader Khan
Kabhi veerane the, abhi gul-o-gulzaar nazar aate hai ... badle badle dar-o-deewar nazar aate hai
Har dam duayen dena, har lamha aahen bharna ... unka bhi kaam karlo aur apna bhi kaam karna
Mehmood
Maqsad-e-ishq ka dekha hai nirala dastoor ... ki hum fail huye, jab humne sabak yaad kiya
Anoop Kumar
Hazaron beh gaye in botalon ke bandh pani mein ... glasson mein joh doobe phir na ubhare zindagani mein
Johnny Walker
Bina mushkil mein padhe kamyabi milti bhi toh nahi ... mushkilen itni padhi mujhpar ki aasaan ho gayi
Pran
Teri zulfon ke pech-o-kham teri zindagi se kam nahi ... jitni sawariye utni ulajhti chali jaati hai
Paresh Rawal
Eent ka jawab patthar ... gudh ka jawab shakkar ... aur sajan ko sabak sikhana ho toh chalao dooja chakkar
Sanjay Dutt
Jab ghar pe ho sakta hai zukaam ka ilaaj toh kyun dhoonde kisi doctor ka address ... ki farak penda hai ki ilaaj kare Munnabhai ya M.B.B.S
Choona jamke padna chahiye, chahe paan ho Banaras ya Kolkate ka ... saboot tagda hona chahiye, chahe thank you bolna pade kisi bhi ullu de pathe da
Gas ho jaye khatam toh jala lo chula ... shehar mein swayamvar kyun kare jab bagal mein ho dulha
Joh kali dulhan bani hai woh chaman ki jaan hai ... par dahej joh kuch mila hai, jung ka samaan hai ... aap meri toop hai aur sasur captaan
Poocha unse ishq kiya kya yeh koi paap hai ... usne kaha chup raho tere peeche khada mere baap hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory