Aap hamare dil ke Taj Mahal mein aa sakte hai ... aur uske kisi bhi kone mein khade rehke tasveer khicha sakte hai
Arshad Warsi
Likhta hoon khat khoon se, shahi na samajhna ... yeh rang hai chahat ka, tabahi na samajhna
Unknown
Woh dil le gayi ek baar dekhkar ... hum kuch na kar paaye lagatar dekhkar
Na jaane badalon ke darmiyan kaisi saazish hui ... mera ghar mitti ka tha, mere hi ghar baarish hui
Ravi Kishan
Humne dekhe hai bahut baatein banane waale ... baatein waale toh janaab kaam kidhar karte hai ... woh joh dekhe hi nahi toofan uthate sagar ... woh kya khaak samundar mein safar karte hai
Naseeruddin Shah
Main dadaon ka dada hoon aur gundo ka gunda hoon ... yeh sansar meri dharti aur main iska jhanda hoon
Anupam Kher
Kab tak chupegi kairi patton ki aad mein ... kabhi na kabhi toh aayegi Bhendi Bazaar mein
Main shaadi shuda hoon ... par kismat ki maari hoon ... magar apne baap ki janni nahi joh jhooth bolun ... main aaj bhi tumhari hoon
Richa Chadda
Is shaam ka koi nahi hai jawaab ... jab saamne behta ho shabaab ... aur apne haathon se pilaye sharaab
Mukul Dev
Kabhi hasta nahi, kabhi rota nahi ... yeh shehar awara kabhi sota nahi
Tere liye kaam karte karte logon ka paseena nikla ... aur tu toh bahut bada kameena nikla ... tune toh bola tha tu izzat dega ... lekin kya pata tha tu saala hamari bhi le lega
Paresh Rawal
Saanson ki garmi mein mohabbat ubaal de ... arre ek chumma idhar bhi toh uchaal de ... kaun jaane kal aaye na aaye ... saara pani mohabbat mein aaj hi nikaal de
Aaj ka kaam kal karo, kal ka kaam parso ... itni jaldi kya hai, jab jeena hai barso
Mukri
Chand tasveer-e-butaan, chand haseeno ke khutoot ... baad marne ke mere ghar se yeh samaan nikla
Sunil Dutt
Main yoon hi bekhudi mein keh gaya hoon dilruba tumko ... khuda ka khauff na hota toh keh deta khuda tumko
Ayub Khan
Tere labon pe inkaar hai, mere labon pe ikraar hai ... haan yahi toh hai sab nishaaniyan, haan issi ka naam toh pyar hai
Ajay Devgan
Jin khoja tin paiyan, gehre pani paith ... aur tu banwari dooban gayi, rahi kinare baith
Ashutosh Rana
Falsafi ko bahas ke andar khuda milta nahi ... dor ko suljha raha hoon aur sirah milta nahi
Rekha
Payal waali ruk wahin, na ho bahut magroor ... moorakh hai joh chal padhe, apni hadh se door
Main apne motape par is qadar hairaan ho gaya hoon ... bar bar aate jaate pareshaan ho gaya hoon
Yunus Parvez
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory