Ek gareeb ki sabse badi daulat uski izzat hai ... aur woh izzat dekar bhi apna pyar, apne sapne kabhi nahi khareed sakta
Juhi Chawla
Har daulat ke peeche koi na koi jurm hota hai ... aur jab tak jurm nahi karta na koi lakhpati banta hai, na crorepati
Danny Denzongpa
Main akela hi chala tha apni manzil ki taraf ... log saath aate gaye aur karavan banta gaya ... khoon-e-dil se humne likhi gham ki yoon dastan ... zindagi ka shandar ek gulsitan banta gaya
Unknown
Sona ho ya chandi, usse tolne ka tarazu lohe ya peetal hi ka hota hai ... is hi tarah duniya ki har cheez insaaniyat ke tarazu pe toli jaati hai
Yunus Parvez
Gareebon ka khoon jab saanche mein dhalta hai toh yeh sikka banta hai ... aur jab yeh sikka bazar mein tulta hai ... toh kisi gareeb ke bhai ko kitaabein milti hai, college milta hai ... aane waale sunhere kal ki umeedein milti hai
Mithun Chakraborty
Mohabbat ho ya jung ... do hi cheezein jeeta sakti hai ... ek rokda aur doosra danda
Mere maula kab talak gussa na unpar aayega ... zaalimon pe rehman aakhir kab talak farmayega ... kab talak hote rahenge bekason pe zulm aur sitam ... kab talak yeh khooni manzar bas tu dekhe jayega
Saeed Jaffrey
Daulat ki mandi mein kanoon hamare isharon par kathputli ki tarah naachta hai ... aur insaaf hum karte hai, hum
Kader Khan
Agar ab bhi tumhe gareeb ki taqat ka andaaza nahi toh jao ... duniya mein jitne mahal bane hai ... unki khandaron ki ek ek eent se poocho ki tumhe banane waala kaun aur mitaane waala kaun
Iski laash ke itne tukde banenge ... ki rone waala yeh bhi samajh nahi payega ki kis tukde ko pakadkar roye
Yeh woh danda hai joh badan pe pade toh chamdi phatti nahi hai ... dard haddiyon tak ghus jaata hai
Zulm phir zulm hai ... badta hai toh mitt jaata hai ... khoon phir khoon hai ... tapakta hai toh jam jaata hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory