Tujhe Mohenjo Daro pe raj karna hai ... aur mujhe seva
Hrithik Roshan
Sharif aadmi England toh kya kisi bhi land mein chala jaye ... apni motherland ko kabhi nahi bhoolta
Dharmendra
London ka mausam aur London ki ladkiyan inka koi bharosa nahi hai ... yeh kabhi bhi rang badalte rehte hai
Rajpal Yadav
Humayun's Tomb ho ya Taj Mahal ... mera bhi love in monuments ki tarha rock solid rahega centuries and centuries tak
Ayushmann Khurrana
Mumbai ... suna tha aadmi yahan poori zindagi apni kismat slow track se fast track laane mein nikaal deta hai
Abhay Deol
Aisa koi prashan nahi hai jiska uttar, Uttar Pradesh mein na mile
Unknown
Aapko kahan kahan nahi dhoonda ... Japan ki jail mein, America ki rail mein, khatte meethe bhel mein, khopre ke tel mein ... samose mein dhoonda, alu mein dhoonda, pyaz mein dhoonda ... magar na mila baap ... mila ghaas mein chupa saanp
Mithun Chakraborty
Uthho jawaan-e-watan, bandhe huye sar se kafan ... uthho dakkhan ki aur se, Gang-o-Jaman ki aur se ... Punjab ke dil se uthho, Satluj ke sahil se uthho ... awaaz do hum ek hai, hum ek hai, hum ek hai
Amitabh Bachchan
Jab badle ki baat aati hai ... toh Dubai return Rana jail se bhi return aa sakta hai
Parmeet Sethi
Woh obviously computer aur mobile jaanti hai, par roz mannat maangti hai ... kaam mein zimmedar hai, par sabse pehle pariwar hai ... woh sajhti bhi hai, savarti bhi hai, aankhen tezz taraar hai ... par uski muskaan uska sabse bada shringar hai ... honestly I tell you surat bhi hai, khoobsurat bhi hai ... woh Gorakhpur ki Geeta toh hai, par pal bhar mein Bombay ki bombshell bhi ban sakti hai
Kunal Kapoor
Yeh Delhi hai, yahan har koi chor hai ... yahan achche time mein plot katte hai, burre time mein jeb aur kharab time mein gale
Vimaan mein emergency ke char dwar hote hai ... aage do dwar, peeche do dwar ... charon na khule toh Haridwar
Soha Ali Khan
Log kehte hai Mumbai is about money ... but Delhi is about power
Rani Mukherjee
Kardo aaisi ghatna ... woh seedhe pahunche Patna
Shakti Kapoor
Abhi pidhi ho, sikandar nahi ho tum ... Bambai ka ek gutter ho, samundar nahi ho tum
Yeh shehar jurm ka bhayanak jungle hai ... aur main is jungle ka sher hoon
Malviya Nagar ke James Bond ... tum kya body language padte ho?
Elli Avram
Kya cheez hai Mumbai, aamchi Mumbai ... woh vada pav ki chutney, woh Mahim ki phirni, woh local train ke dhakke, woh signal pe chakke ... woh traffic, woh kooda, woh kachra, woh auto taxi ka nakhra ... woh machi waali ka jhagda, woh bhel, woh pani-puri, woh ragda ... woh Wadala, woh Chakala, woh Bandra, kahin Sakku bai toh kahin Sandra ... woh aunty ka adda, saala main road pe hich khadda ... yaar jaisa bhi hai ... aamchi Mumbai toh aamchi hai yaar
Sunil Shetty
Yeh Mumbai hai ... idhar raat ko alti ka palti aur palti ka alti ho sakta hai
Anant Jog
Yeh Bambai hai mere bhai Bambai ... yahan sach bolkar pet bharne ka raasta dhoondne se nahi milta ... aur jhoot bolkar paise banane ke raaste hai 420
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory