Main kuch bhi kar loon, tum kabhi mujhse mohabbat nahi karna chahti ... aur tum kuch bhi kar lo, main kabhi tumse nafrat nahi kar sakta
Harshvardhan Rane
Teri deewaniyat mein jab main mar jaunga na, toh aise hi rehna ... apni aankhon mein ek bhi aansun mat aane dena ... kyun ki teri aankhon mein ek bhi aansun meri rooh bardaash nahi kar payegi
Tere liye mera pyar, tera bhi mohtaaj nahi ... yeh marte dum tak rahega, sirf aaj nahi
Tera pyar, pyar nahi teri zid hai ... jisse tu paar kar raha hai woh har hadh ki hadh hai ... mere dil mein tere liye mohabbat nahi, sirf nafrat hai ... tujhe tabaah joh kar degi woh is deewani ki deewaniyat hai
Sonam Bajwa
Agar tu dil todh bhi degi mera, toh har toota tukda tere liye dhadkega ... mera yeh ishq sirf chingaari nahi, aag bankar bhadkega
Tune aaj tak sirf ek aurat ki chhoodi ki khanak dekhi hai ... ab tu ek aurat ki sanak dekhega
Agar dar jaunga toh zamana bhoolne nahi dega ... agar mar jaunga toh duniya yaad rakhegi
Jab khuda kisi ko banata hai na, toh us mein kuch khaas baat hoti hai ... lekin khuda ne Adaa ko banaya, issi liye ab woh khaas baat khuda mein hai
Aaj ke baad Adaa jis gali se guzri ... agar us gali se tumhari soch bhi guzri na ... toh Mantralay ho ya sauchalay ... dono jagah khade hone ke layak nahi chhodunga
Tujhse mohabbat karna ae sanam meri zaroorat hai ... aur yeh tere is badnaseeb deewane ki deewaniyat hai
Aashiqon ke marne se toh itihaas bana hai ... main marne ko bhi taiyaar hoon, aur itihaas banne ko bhi
Kaisi meri taqdeer hai, joh mere naseeb mein sirf teri tasveer hai
Main tujhse itni nafrat karti hoon ... ki main apni nafrat bhi kisi aur ke saath nahi batungi
Yeh badshah sang-e-mar-mar ka maqbara nahi ... tumhare patthar dil mein apne pyar ka Taj banwayega
Agar imaan bechna hi hai ... toh aisi rakam ke liye becho ... agar tumhara zameer tumhe sone na de ... toh bank mein neend khareedne ka balance hona chahiye
Power mein joh power hota hai, woh aur kisi cheez mein nahi ... lekin ab lagta hai power se zyada power, pyar mein hai
Jeb mein jab chillar ho na, toh aadmi sirf moongphali khareed sakta hai
Ek aurat ki marzi hi uski marzi hoti hai ... aur us marzi se badkar, kisi bhi ek deewane ki deewaniyat kuch nahi hoti hai
Wrong ho ya right ... meri marzi hi meri marzi hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory