Aap hi jaise logon ki buzdili ki kok se nikli hui najayaz aulaaden hai yeh
Pyar bahut baar ho jaata hai ... lekin mohabbat sirf ek baar hoti hai
Joh toofan mein palta hai ... wohi duniya badalta hai
Aaj ke baad woh jagega toh maa kahega, soyega toh maa kahega, jeeyega toh maa kahega ... aur marega tab bhi maa kahega
Aurat ko hathyar banakar jung ladne waala mard ... mard nahi hota
Sachche dil se aur khuli aankhon se dekhe sapne ... hamesha sach hote hai
Dil hai kahan ... woh toh tune le liya hai zalim
Keechad aadmi par girre yah aadmi keechad par ... dono suraton mein daag toh aadmi par hi lagta hai
Maa bachche ko janam deti hai, paalti hai, posti hai ... lekin bachcha maa ke nahi, baap ke naam se jana jaata hai
Mujrim kitni bhi hoshyari kare ... saboot ko zameen ki kok mein dafan kyun na karde ... lekin ek na ek din uska gunaah uske samne aaine ki tarah khada ho jaata hai
Waqt ke saath saath aadmi thoda bahut zaroor badalna chahiye ... varna waqt burra maan jaata hai
Malik banna hai toh kheto mein kaam kar ... kyun ki asli khazana kitaabon mein nahi, zameen mein chupa hai beta
Mere dil mein toh ek jwalamukhi hai jiske dhadakte sholon mein ... in logon ko zinda jala dene ko jee chahta hai
Saabit kar diya tune aaj ... ki mujh jaisi nagin ki kokh se ... tujh jaisa sapola hi paida ho sakta hai
Pati ek bank balance hota hai, ek tijori hota hai ... jis mein se paise nikaal nikaalkar gehne banwao, sareeyan khareedo, mauj karo mauj ... lekin unka dil rakhne ke liye kabhi unka sar dabao, kabhi unke pair dabao ... haala ki dil toh karta hai ki unka gala dabao, taaki jhanjhat hi khatam
Ek aadmi aakha duniya se lad sakta hai ... magar ek aurat ka nafrat ke aage haar jaata hai
Samundar ki khamoshi apne andar bahut bade toofan ko chupaye hoti hai
Ek aurat akeli hoti hai ... lekin zalim samaaj ko yeh nahi bhoolna chahiye ... ki ek talwar bhi akeli hoti hai
Joh kaam maine itni umar mein nahi kiya ... tune itni si umar mein kar liya?
Beva ki aankh mein khwab toh hote nahi ... bas aasoon hote hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory