Kya hai mrityu ... hamare haathon se shatru ka mar jaana yeh sochna hai mrityu ... ranbhoomi mein shatru se bhaybheet hokar jeevat rehna hai mrityu?
Unknown
Is ladai mein yah toh hamari poori jeet hogi ... yah poori haar
Sunny Deol
Khel ke maidan mein jeetna bhi koi jeetna hai ... asli jeetna toh jung ke maidan mein hota hai ... us samay maaro ya maare jao
Yeh duniya pyar ki sirf baatein karti hai ... chalti jung pe hai
Randeep Hooda
Ladai goliyo se nahin ... dil se jeeti jaati hai
Shahrukh Khan
Har jung border par nahi hoti
Danny Denzongpa
Everything is fair in love and war ... love is over ... now war begins
Rajkummar Rao
Marathaon ke paas dushman jitni daulat ho na ho ... yudh mein bahane ke liye khoon kayi zyada hai
Ranveer Singh
The more you sweat in peace ... the less you bleed in war
Jackie Shroff
Kahi baar jung jeetne ke liye ... training se zyada ek fauji ke jazbaat zaroori hote hai
Vicky Kaushal
Yudh mein saikadon ko maarne waala nayak hai ... lekin joh kisi ek ke bhi pran bachaye woh devta hai
Ramya Krishnan
Woh ladh rahe hai taaki humpar raj kar sake ... hum ladh rahe hai taaki khud par naaz kar sake
Kangana Ranaut
Har yudh ka nateeja talwaron se nahi hota ... talwar se zyada dhaar chalane waale ki soch mein honi chahiye
Jung ki sabse azeem khubi ... bina shamsheer aazmaye dushman ki deewar gira dene mein hai
Hrithik Roshan
Jung mein pyar nahi hota ... lekin pyar mein jung hua karti hai
Mukesh Khanna
Jab jab adharm ka sar uthta hai ... tab tab dharm devta ka paon usse kuchal deta hai ... jab jab Ravan pehda hota hai ... Ram ko janam lena hi padta hai ... jab bhi Kaurav atyachar karenge ... Pandav unhe nasht kar denge ... yahi yudh dharm hai, yahi jeevan karam hai
Sanjeev Kumar
Yeh azaadi ki ladai mere mar jaane se khatam nahi hogi ... yeh ladai toh mere mar jaane ke baad shuru hogi ... aur us waqt tak ladi jaati rahegi jab tak yeh Bharat maa ke bichade hue bachche maa ki ghod mein vapas nahi chale jaate
Dev Anand
Yudh ka ek hi niyam hota hai ... vijay!
Ladaiyan sasti nahi hoti ... aur agar sasti hoti toh har koi nahi ladh leta
Arjun Kapoor
Woh tumhare maa baap ke baare mein kuch bhi bol le ... koi tension nahi ... tum unke maa baap ke baare mein zara si ek line bol do ... toh 3rd aur 4th world war dono ek saath ho jayenge
Kartik Aaryan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory