Sachche dil se aur khuli aankhon se dekhe sapne ... hamesha sach hote hai
Aruna Irani
Apni galati maan kar insaan bada banta hai ... apni nazron mein bhi, aur doosron ki bhi
Dina Pathak
Jab khuli aankhon se aadmi sapne dekhne lage, aur neend mein bhi har pal uske saath guzaare ... ussi junoon ko pyar kehte hai
Prem ka matlab samarpan hota hai ... issi liye main aaj, issi waqt apne aap ko tumpar samarpit karta hoon
Chandrachur Singh
Pyar ko chupana bhi toh pyar hota hai
Awaara lafango ke tarah ghoom kar sirf waqt kaata jaa sakta hai ... poori umar nahi
Shakti Kapoor
Pyar ki na koi bhasha hoti hai, na hi paribhasha ... yeh kab jaagta hai, kab kisse jaga deta hai, yeh toh bhagwan bhi nahi bata sakte
Jab rishtey judte hai ... toh kab, kahan aur kaise jaise labz bemaine ho jaate hai
Unknown
Sundarta toh mann se pehchani jaati hai
Karisma Kapoor
Kitne badnaseeb hote hai woh log ... jinke apne bhi paraye ho jaate hai
Bina bandhan ke rishton ko ayaashi kehte hai
Har kamyaab insaan ke peeche kisi na kisi aurat ka haath zaroor hota hai ... aur mere liye woh tum ho
Joh apne hi pyar se mooh mod le ... us kayar ka saath na insaan deta hai, na hi bhagwan deta hai
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory