Aadmi koi patthar nahi hai ki ek baar jaisa ban gaya, zindagi bhar waisa hi bana rahega
Tumhe kho diya hai paane ke baad ... teri yaad aayi tere jaane ke baad
Mujhe padna aata hai ... joh shabhdon mein likha hai woh bhi ... joh shabhdon mein nahi likha hai woh bhi
Police na kisise mohabbat karti hai, na nafrat karti hai ... hum sirf duty karte hai
Prem sachchai hai ... is sachchai ko aaj tak na koi maar saka hai aur na koi maar sakega
Aurat ko aur saari ko sambhalna bahut mushkil kaam hai
Kanoon ek aaisa hathyar hai joh sau achaiyon ko bhool jaata hai ... magar ek galati ho jaye toh gardan kaat deta hai
Do kisam ke log zaroorat se zyada imaandari ka dhol peetate hai ... ek woh joh imaandar hote hai aur doosre woh joh puri tarah se baimaan hote hai
Bachche jab chote hote hai, toh unse pyar kiya jaata hai ... jab woh bade ho jaate hai, toh unhe samjha jaata ha
Is duniya mein sabse taqatwar bhagwan paisa hai paisa ... chahe jitna bada gunaah karlo, jurm karlo ... noton ki chaddar mein sab kuch dhak jaata hai
Yeh ajeeb rishtey hai ... in mein log alag toh ho sakte hai ... par juda nahi ho sakte
Shama bujhao ki sailaab-e-noor aaya hai ... ya phalak se koi tara hi utar aaya hai
Imaarat pehle bahar se nahi, andar se hi tootti hai ... insaan aksar doosron se nahi, apne aap se, apne vicharon se aur apne rawaiye se hi dokha kha jata hai
Mausam bhoole nahi jaate ... yaad taaza karne baar baar aate rehte hai ... kabhi zakhmo ko bharne toh kabhi zakhmo ko gehra karne
Aadat badli ja sakti hai ... fitrat nahi
Duniya adhoori nahi hoti ... muqammil hoti hai ... adhoora aadmi hota hai
Chor ki kasam aur jhoote ke waade ka koi aitbaar nahi hota
Nadaani ka doosra naam nakaami hai
Kaam awaara aur uchakkon ko nahi milta ... magar jinhe kaam ki shradha hoti hai ... unhe kaam mil jaata hai
Koi itna door bhi nahi jaana chahiye ... ki wapasi ka raasta bhool jao
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory