Hai bahut andhyar, suraj nikalna chahiye ... ho kisi tarah se bhi, mausam badalna chahiye
Sunny Deol
Agar toofan ka raasta badalna mushkil ho jaye ... toh apna raasta badal lena chahiye
Bipasha Basu
Agar mohabbat ka mausam theek nahi raha toh yeh apne apne ghar jayenge ... aur agar mohabbat ka mausam theek raha toh phir yeh gana gayenge
Kader Khan
Jab jab zulm ki aandhi badti hai ... usse rokne ke liye ek toofan aata hai
Amitabh Bachchan
Aandhi jab chalti hai na ... toh haath chhodne ka nahi, haath thaamne ka waqt hota hai
Ashutosh Rana
Garmi chahe mausam ki ho ya daulat ki ... sirf gadhe hi magan rehte hai us mein
Guru Dutt
Yaadon ke jharokhon mein beeti hui baaton ko ... ukdhi hui saanson mein kuch lamhon ke raazon ko ... pyar ki shabnam mein unsune geeton ko ... sunsaan si rahon mein bhoole hue vaadon ko ... kaise koi yaad kare, kaise koi yaad kare ... khamosh sadaaon mein sapnon bhari raaton ko ... bheege hue mausam mein sarke hue aanchal ko ... moondi hui aankhon mein dhadakte nainon ko ... adh-khule hoton mein pritam ke chumman ko ... kaise koi yaad kare, kaise koi yaad kare
Jaya Bhaduri Bachchan
Ek baar aasman se giri hui bijliyan vapas laut sakti hai ... toofan apna rukh badal sakta hai ... lekin is Sher Khan ka faisla kabhi nahi badal sakta
Danny Denzongpa
Baarish ki boondon se darne waale toofan ka muqabla nahi kar sakte
Rajesh Khanna
Zyada bhala na bolna ... zyada bhali na choop ... zyada bhala na barasna ... zyada bhali na dhoop
Saif Ali Khan
Leader ke jazbaat ka, Bambai ki barsaat ka aur producer ki baat ka ... kabhi bharosa karna nahi chahiye
Duniya mein har cheez badalti hai ... mausam, rishtey, naseeb
Sanjay Dutt
Mohabbat ke sailaab ke samne har deewar toot jaati hai
Parikshat Sahni
Yeh raat hai ya tumhari zulfein khuli hui hai ... hai chandni ya tumhari nazaron se meri raatein dhuli hui hai ... yeh chand hai ya tumhara kangan, sitaren hai ya tumhara aanchal ... hawa ka jhaunka hai ya tumhare badan ki khushboo ... yeh pattiyon ki hai sarsarahat ki tumne chupke se kuch kaha hai ... yeh soochta hoon main kabse gumsum, ki jabki mujhko bhi yeh khabar hai ki tum nahi ho, kahin nahi ho ... magar yeh dil hai ki keh raha hai ki tum yahin ho, yahin kahin ho
Baarish ki woh boodein achanak aisi lagne lagi ... jaise aasmaan se pani nahi, aag barasne lagi ho
Mallika Sherawat
Aandhi mein udhte hue patte ko kya malum ... usse kahan se kahan bhatakna hoga
Asha Parekh
Yakeen nahi aata toh poocho in barfilay pahadon se, in nadi ki leharon se, in baharon se ... hum dono ke dilon ki awaaz ek hai, joh saath saath milkar in vaadiyon mein goonj uthegi
Kuch nahi hai magar hai sab kuch bhi ... kya ajab cheez hai yeh kaagaz bhi ... baarishon mein hai naav kaagaz ki ... sardiyon mein alaav kaagaz ki ... aasman mein patang kaagaz ki ... saari duniya mein jung kaagaz ki
Unknown
Kapda hai bahut zyada par kameez bahut tang hai ... badal hai bahut zyada par baraste kitne kam hai
Nawazuddin Siddiqui
Is shehar ki barsaat ka, neta ki baat ka aur producer ki zaat ka ... kabhi bharosa nahi karna chahiye ... kyun ki yeh sab jhoot bechte hai
Govinda
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory