Baadalo aur insaan ki saanso ka kya bharosa ... baadal kabhi bhi baras sakte hai ... saans kabhi bhi toot sakti hai
Danny Denzongpa
Mausam aur insaan jab milkar galati karte hai na ... toh it's a sure shot recipe for disaster
Amitabh Bachchan
Main aandhi hoon joh ek hi saans mein hawa ka rukh badal deti hai ... yehi aandhi tumhe tinke ki tarah udhake maut ke ghat tak pahuncha degi ... aur woh ghat itna sookha hoga ki marte waqt joh tum pani maangoge ... toh tumhe pani ki boond bhi naseeb nahi hogi
Shatrughan Sinha
Priya jab assi saal ki ho jayegi na ... I promise you main tab bhi usko itna hi pyar karoonga ... dhoop mein iska chashma banuga, baarish mein iska chaata ... kyun ki pyar ke sivah mujhko kuch nahi aata
Govinda
Koi hawa toh chale, koi patta toh hile ... kaun hai apna kuch pata toh chale
Shreyas Talpade
Jisse barfo mein ice-cream khane ka shauk ho ... usse sardi nahi lagti
Jeetendra
Samundar ki khamoshi apne andar bahut bade toofan ko chupaye hoti hai
Aruna Irani
Pooche joh koi mujhse bahaar kaisi hoti hai ... naam tera leke keh doon yaar aaisi hoti hai
Rajendra Kumar
Bijli giri Musharabad mein aur ghar jala Moradabad mein
Unknown
Bambai ki ladki aur Bambai ki barish ... kabhi bhi aayegi, kabhi bhi jayegi
Padmini Kolhapure
Aandhiyon ke darr se log apne hi diyon ko apni hi phoonkon se bhujane lagenge ... toh mohabbat ki duniya mein sirf andhera reh jayega
Raj Babbar
Aaisi bahut si aandhiyan aayi aur chali gayi ... lekin koi is pahad ke seene mein chhed nahi kar saka
Dharmendra
Jaise daur badalte hai, mausam badalte hai ... vaise hi har kutte ke din badalte hai
Manisha Koirala
Badal ki taqdeer mein toh sirf garajna aur aasoon bahana likha hota hai
Dimple Kapadia
Rangeen zamana hai mausam suhana hai, chhodo bhi ab yeh sharam ... nazarein joh karti hai nazaron se baatein, chal woh karen baat hum
Sudhir
Humne dekhe hai bahut baatein banane waale ... baatein waale toh janaab kaam kidhar karte hai ... woh joh dekhe hi nahi toofan uthate sagar ... woh kya khaak samundar mein safar karte hai
Naseeruddin Shah
Tum log barsaat ke un kaale badalon ki tarah ho joh ekkhatta ho jaye toh suraj ko bhi dhak dete hai ... lekin kataye baarish ho jaye, dhuaan ho jaoge ... suraj toh yahin rahega
Prem toh ek badal ki tarah hai joh achanak aa jaata hai, achanak baras jaata hai ... aur chand nikal aata hai
Vijay Anand
Agar garajne se hi barbadi ka toofan uthne lage ... toh barasne ki zaroorat nahi padti
Baarish ki chand boondein padhi toh, machi is tarah dhoom ... sabi jawan dil, sabi haseen dil gaye nashe mein jhoom
Kader Khan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory