Sabak wafaa ka sikhaya bhi ja nahi sakta ... joh seekh lo toh bhulaya bhi ja nahi sakta .. yeh haseen dard dil mein chupaya bhi ja nahi sakta ... aur koi pooche toh bataya bhi ja nahi sakta
Govinda
Na gul-e-naghma hoon na parda-e-saaz ... main hoon apne shikast ki awaaz
Bharat Bhushan
Shyam hote hi tanhaiyan mujhe til-til maarne lagti hai ... aaise mein agar koi saathi saath na ho, toh aasoon bhi gale mil-mil behne lagte hai
Akshay Kumar
Vaada toh phir vaada hai, main zehar bhi pee jaon katil ... sharat bas itni hai, koi baahon mein samah le mujhko
Vijay Raaz
Draupadi ki saree keechna Dushasan ko pada bhari ... saree mein saree, Parag saree
Akshaye Khanna
Sitaron se aage jahan aur bhi hai ... aasman se aage aasman aur bhi hai
Kay Kay Menon
Kiya hai ishq toh har imtihaan se guzrenge ... tumhare vaaste har intehaan se guzrenge
Priyanshu Chatterjee
Upar waale ne bhi kya item banayela hai ... truck ki body pe cycle ki ghanti lagayela hai
Unknown
Mazaa toh jab hai aa jaye kahin unki tabhiyat bhi ... zara woh bhi toh jaane karvatein kyun kar badalte hai
A. K. Hangal
Jaise taise taalo isse ... lula landa jahan koi mil jaaye haath peele karo, nikalo isse
Pran
Mera muhafiz hai khuda, toh phir hai kaun joh mujhko utha sake ... teri kya aukaad hai, joh jahaan se mujhe mitta sake
Sunny Deol
Jigar ki chot hai aye dost, dauraahi nahi jaati ... lapat hai aag ki, hoton pe phir laayi nahi jaati
Raza Murad
Dil gaya toh gaya hosh bhi udh gaye, ek naya inquilaab aane ko hai ... apni kafir nighaon ko roko zara, mera imaan dagmagane ko hai
Kabir Bedi
Aadhi raat ko bulana, subah tak zaroor aaonga yeh meri arz hai ... shehar mein shanti aur nagriko ki seva karna mera farz hai
Anupam Kher
Chamdi ukhaadkar tera chehra bhigaad doonga ... tukde udaakar tere dal-dal mein gaad doonga
Ishrat Ali
Le liya jugnuo taaro se karza maine ... magar apne chaand ko hargiz nahi kharcha maine
Naseeruddin Shah
Jalte khwaabon ki lapton se ek diya jalana hai ... ek zakhm hi khakar mujhko ek zakhm bhulana hai ... saath nibhana pad jaye itna koi majboor nahi hai ... khol diya dil ka darwaza, jaao jisko jana hai
Bhuji ko raakh kehte hai, jali ko aag kehte hai ... jisne tumhe bachaya usse Lallan ka dimaag kehte hai
Ritesh Deshmukh
Chalti chakki dekh kar, diya kabira roye ... do paatan ke beech mein, sabit bacha na koye
Aasmaan ka rang aankhon mein leke utri hai ek videshi apsara ... pighal rahi hai baraf, pighal raha hai ek brahmachari ka dil zara zara ... kahin aisa toh nahi ki saawan ke andhe ko dikhta ho sab hara hara
Ajay Devgan
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory