Hai aur bhi duniya mein sukhanavar bahut achche ... kehte hai ki Ghalib ka hai andaaz-e-bayaan aur
Hai bas ki har ek unke ishaare mein nishaan aur ... karte hai mohabbat toh guzarta hai gumaan aur ... yaa rab na woh samjhe hai na samjhenge meri baat ... de aur dil unko joh na de mujhko zubaan aur
Nikalna khuld se aadam ka sunte aaye the lekin ... bahut beabroo hokar tere kooche se hum nikle
Joh bhi kaam mile usse kar lena chahiye ... kaam koi chota nahi hota ... chota hota hai aadmi, uska dil, uski kartoot
Dushman ko dushmani se hi nahi ... dosti se bhi maara ja sakta hai
Na gul-e-naghma hoon na parda-e-saaz ... main hoon apne shikast ki awaaz
Chhodunga main na us but-e-kafir ka poojna ... chhode na khalq go mujhe kafir kahe bagair
Tumhare bagair meri sargam adhoori hai, mere geet adhoore hai ... tum hi mera sangeet ho
Karz ki peete the main lekin samajhte the ki haan ... rang layegi hamari faaqa masti ek din
Pila de oak se saakhi joh humse nafrat hai ... pyala agar nahi deta na de, sharaab toh de
Gareeb ko sirf roti ka sapna dekhna chahiye ... pyar ka nahi
Tum salamat raho hazaar baras ... har baras ke ho din pachaas hazaar
Hoon giraftar-e-ulfat-e-sayaad ... varna baaki hai taqat-e-parwaaz
Samay kisi ka ek sa nahi rehta ... joh aaj tumhara hai, woh kal mera hoga
Pehle huyi ladai, phir laathi se unki aisi ki dhulai ... ki sabko nani yaad aayi
Bastiyan aur khazane lootne waale ... dilon ko nahi loot sakte
Recently Added
Box Office Winners
Movies Directory
Stars Directory